Sahih Bukhari Hadith

 Sahih Bukhari Hadith 


 *Bismillahirahmanirraheem*


*✦ Hadith: Hamara Rab har raat farmata hai kaun hai jo mujhse Dua karta hai ki main uski Dua Qubul karu*

-----

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab raat ka aakhri tihayee hissa baqi rah jata hai to hamara Rabb jo barkat wala aur paak hai har raat Aasman-e-duniya ki taraf nuzul farmata hai aur farmata hai, kaun hai jo mujhse Dua karey ki main uski Dua Qubul karu , Kaun hai jo mujhse maange  ki main use du , kaun hai jo mujhse bakhshish talab karey ki main uski bakshish karu

Sahih Bukhari 6321

...............       ............    .........



Bismillahirrahmanirraheem



✦ Kisi ko Muskurata dekh kar padhne ki dua


---


✦  Ek baar Umar Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass tashreef laye to dekha ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam muskura rahe they to unhone kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam



أَضْحَكَ اللَّهُ سِنَّكَ


Adhak Allahu sinnak


Alllah Subhanahu hamesha aapko hansta hua rakhe


Sahih Bukhari 3294

.......................       ..............



Bismillahirahmanirraheem*



✦ *Hadith : Sham ho jaye to apne bachcho ko ghar se bahar na nikalne do kyunki us waqt Shaitan phail jate hain*


------


✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Raat jab shuru ho ya Sham ho toh apne bachcho ko rok lo aur ghar se bahar na nikalne do kyunke us waqt Shaitan phail jate hain phir jab raat ki ek ghadi guzar jaye toh unhein chor do aur darwaze band kar lo aur us waqt Allah Subhanahu ka naam lo kyunki Shaitan band darwaze ko nahi kholta aur Allah Subhanahu ka naam lekar apne mashkizon ka muh bandh do.Allah Subhanallah ka naam lekar apne bartano ko dhak do,  aur chiragh (sone se pehle) bujha diya Karo


Sahih Bukhari, 5623


------....................................


Bismillahirrahmanirrahim*



✦ *Hadith: Kalonji har bimari ki dawaa hai siway mout ke*


-----


✦ RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Kalonji (Kaale dane, Nigella seeds) mein har bimari se Shifa hai siwaye saam (Maut) ke


Sahih Bukhari, 5688



✦ Khalid bin saad Radi Allahu Anhu se riwayat hai hum bahar gaye huye they aur hamare sath Ghalib bin abjar Radi Allahu Anhu bhi they wo raste mein beemar padh gaye phir jab hum madina wapas aaye us waqt bhi beemar hi they Ibn Abi Ateeq Radi Allahu Anhu unki aayadat ke liye tashreef laye aur hum se kaha ke inhein ye kale dane (kalonji) Istemal karwao uske panch ya saat dane le kar pees lo aur phir zaitoon ke tail mein mila kar usay qatre qatre kar ke tapkao kyu ke Aisha Radi Allahu Anha ne mujhse bayan kiya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye kalonji her beemari ki dawa hai siwaye saam ke maine arz kiya saam kya hai ? farmaya ke Maut hai


Sahih Bukhari, 5687


........................................


*Bismillahirahmanirraheem*



✦ *Hadith : Qayamat ki 6 Nishaniyan*


-----


✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaih Wasallam ne farmaya ke Qayamat  ki chey (6) nishaniyan shumar kar lo 


1. Meri Wafat 2. Phir Bait ul muqadas ki fateh


3. Phir ek waba (virus) jo tum mein shiddat se phelegi jaise bakriyon mein taoon phail jata hai  


4. Phir maal ki kasrat Iss tarah se hogi ke ek shakhs so (100) dinar bhi agar kisi ko dega to us par bhi wo naraz hoga, 


5. Phir itna tabah kar dene wala fitnah hoga ke arab ka koi ghar baqi na rahega jo Iss ki lapet mein na aayega


6. Phir Sulah jo tumahare aur Bani Al-Asfar (Rom ke Eesayeeyo) ke darmiyan hogi,  lekin wo dhokjha denge aur ek azeem lashkar ke saath tum par chadahyee karenge, usmein 80 jhande honge aur har jhande ke sath 12,000 ki fauj hogi (yani 9 lakh 60 hazar ka lashkar hoga)


Sahih Bukhari  - 3176


..................................................


*Bismillahirrahmanirraheem*



✦  *Hadith : Aankh ka Zina ( Gair mahram ko) dekhna hai, Zuban ka Zina (Gair Mahram se) baat karna hai*


-----


✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Allah Subhanahu ne Insaan ke liye Zina ka koi na koi hissa likh diya hai, jis sey usey kisi bhi tarah ( na chahte huye bhi) Guzarna hai,islitiye isliye Aankh ka Zina ( Gair mahram ko) dekhna hai, Zuban ka Zina Gair Mahram se baat karna hai, Dil ka zina khwahish aur Shahwat hai aur Sharmgaah iski tasdeeq karti hai ya isey jhutla deti hai


Sahih Bukhari, Jild 8, 6612


.............................................


*Bismillahirahmanirraheem*



✦ *Hadith : Jo Tawoon (Virus) wali jagah Allah ki rahmat se ummeed lagaye huey wahi rukega to usko shaheed ke barabar sawab milega*


----


✦ Aisha Radi Allahu Anha se riwayat hai maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se taaoon (Virus,Plague) ke bare mein pucha toh Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke ye ek azab hai Allah Subhanahu jis par chahata hai bhejta hai lekin Allah Subhanahu ne is ko momeeno ke liye rehmat bana diya hai agar kisi shakhs ki basti mein taaoon pehal jaye aur wo sabr ke sath Allah Subhanahu se rehmat ki umeed lagaye huye wahi rukha rahega ye soch kar ki hoga wahi jo Allah Subhanahu ne qismat mein likha hai toh usko shaheed ke barabar sawab milega 


Sahih Bukhari -3474


...............................................


Bismillahirrahmanirraheem*



✦ *Hadith : Dewar (Ya Jeth) to maut ki tarah hai (yani unke saath jana hi to halaqat hai )*


----


✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya aurton mein jane se bachte raho is par Ansar Qabeele ke ek shakhs ne kaha ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Dewar (Ya Jeth) ke mutalliq aapki kya raay hai ? (Wo apni Bhabhi ke saath ja sakte ya nahi )? to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Dewar (Ya Jeth) to maut ki tarah hai 


(yani unke saath jana hi to halaqat hai )


Sahih Bukhari, 5232



Note : Ulmao ka kahna hai ki Aurat ko aise kisi bhi rishtedar ke saath akele nahi jana chahiye jo gair mahram ho chahe wo kitni bhi kareebi rishtedar na ho 


 . ....................... ............ .... .   . ...  ........


Bismillahirrahmanirraheem



✦ Hadith : Aag tumahari dushman hai isliye jab sone lago to usko bujha diya karo


----


✦ Madina mein ek ghar raat ke waqt gharwalo ke saath jal gaya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se iss ke mutalliq kaha gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye Aag tumahari dushman hai isliye jab sone lago to usko bujha diya karo


Sahih Bukhari, 6294


___________________________________


Bismillahirrahmanirrahim



✦ *Mafhum-e-Hadith: Safar ke mahine mein koi nahusat nahi hai*


----


✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmya chhut (छुत) lag jana (yani kisi ke chune se beemari phailna), badshaguni hona ya ullu ka bolna ( Yani ullu ke bolne se kuch bura hona) ya safar (ke mahine) ki Nahusat hona ye koi cheez nahi hai (Bekar ke khayalat hai)


Sahih Bukhari, Jild 7, 5757



........................................



Bismillahirrahmanirrahim



✦ *Jo Log Gareebi ki wajah se Haj nahi kar paye unke liye sawab kamane ka ek aasan amal*


------


✦ Gareeb log Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur kaha ki Ameer  log buland darjat aur hamesha rahne wali jannat hasil kar chuke halanki jis tarah hum namaz padhte hain wo bhi padhte hain aur jaise hum roze rakhte hain wo bhi rakhte hain lekin maal wa daulat ki wajah se unhe hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ karte hain Umrah karte hain 


Jihad karte hain aur sadqa dete hain aur hum Mohtaji ki wajah se un kaamo ko nahi kar paate is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki main tumhe ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karoge to jo log tumse aage bad chuke hain tum un tak pahunch jaoge aur tumhare martabe tak phir koi nahi pahunch sakta aur tum sabse achche ho jaoge siwa unke jo yahi amal shuru kar de Har namaz ke baad 33 martaba Tasbeeh ( Subhanallah) aur Tamheed ( Alhamdulillah) aur Takbeer ( Allahu Akbar) kaha karo 


Sahih Bukhari, Jild 2, 843


  ........................ .................


Bismillahirrahmanirrahim



✦ Hadith : Suraj aur chand mein Grahan (eclipse) dekho to Namaz  Parha karo aur Dua karte raho jab tak Grahan chala na jaye


----------


✦ Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Suraj aur chand  dono Allah Subhanahu ki nishaniya hai aur  Kisi ki  wajah se inmein Grahan (eclipse) nahi lagta bulki Allah subhanahu uskey zariye apne bando ko darata hai


Sahih Bukhari, Jild 2, 1048



✦ Abu Bakr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ki khidmat mein hazir they ki Suraj ko grahan lagna shuru ho gaya Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam maszid mein gaye saath mein mein hum bhi gaye Aapney humein Do rakaat namaz parhayee yahan tak ki suraj saaf ho gaya phir Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam   ne farmaya Suraj aur chand mein Kisi ki maut ki wajah se grahan (eclipse) nahi lagta jab tum grahan  dekho to Namaz parho aur  Dua kartey raho jab tak grahan chala na jaye


Sahih Bukhari, Jild 2, 1040


...............__________________....................


Bismillahirahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith : Agar Kisi ko kisi baat ka ilm na ho toh kahe Allah hi ko Zyada ilm hai

-----

Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu ne farmaya Eh logo Jis Shaks ko Kisi Cheez Ka ilm ho toh wo bayan Karen agar  ilm na ho toh kahe Allah hu Alam yani Allah hi ko Zyada ilm hai  kyu ke ye bhi ilm hi hai Jo Cheez na jante ho Uske mutaliq keh de ke Allah hi zyada janne wala hai 

Sahi bukhari 4809



..........................................................


Bismillahirahmanirrahim


✦:Barish ke baad ki dua

------


مُطِرْنَا بِفَضْلِ اللَّهِ وَرَحْمَتِهِ

Mutirnaa bifadhlillaahi wa rahmatihi.

---

✦:Allah ke fazal aur rahmat se hamare liye barish huyee

Sahih Bukhari Jild 1 , 846

----


...........................••••••••••••••••••..........................


Bismillahirrahmanirraheem


✦: Gunaho ko khatam karne ki dua

----------

اللَّهُمَّ اغْسِلْ عَنِّي خَطَايَاىَ بِمَاءِ الثَّلْجِ وَالْبَرَدِ

-----------

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam is tarah dua maanga karte they 

Eh Allah mere Gunahon ko Burf aur Oley ke paani se dho de 

-------


..............  ..............  .....................................


Bismillahirrahmanirraheem



✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam her raat Surah Ikhlas, falaq,  An-Nas  3 par padh kar apne upar dam farmate


------


✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam her raat jab bister par aram farmate toh apni dono hatheliyon ko mila kar  Surah Ikhlas, Falaq, An-Nas  teeno surah mukamal  padh kar un par phunkte aur phir dono hatheliyon ko jaha tak mumkin hota apne jism par pherte they pehle sir aur chehre par haath pherte aur samne ke badan par ye aamal Aap Sallallahu Alaihi Wasallam teen baar karte they


Sahih Bukhari  5017


...................................................................


Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith:  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko kaddu pasand tha



Anas Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Main Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ke saath ek Darji(tailor) ke wahan gaya, usne Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke samne ek pyala Pesh kiya jismein sharid ( Gosht aur kaddu ) tha aur apne kaam mein lag gaya,Nabee SallallahuAlaihi wasallam usmein se kaddu talash karne lage phir main bhi usmein se kaddu talash karke Aap SallallahuAlaihi wasallam ke samne rakhne laga aur uske baad se mujhe bhi kaddu bahut pasand ho gaya.

Sahih Bukhari, Vol 6, 5420


.......................................................


Bismillahirrahmanirrahim  



Mafhum-e-Hadith: Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam zor zor se nahi haste bulki sirf muskurate they



Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  is tarah kabhi khul kar (zor zor se) hanste nahi dekha ki aapke halaq  ka kuwa (palate) nazar aane lagta bulki Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam sirf muskurate they.

Sahih Bukhari, Vol 7, 6092


●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●


Bismillahirrahmanirrahim  



Mafhum-e-Hadith: Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam zor zor se nahi haste bulki sirf muskurate they



Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  is tarah kabhi khul kar (zor zor se) hanste nahi dekha ki aapke halaq  ka kuwa (palate) nazar aane lagta bulki Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam sirf muskurate they.

Sahih Bukhari, Vol 7, 6092


●●●●●●●●●●●□□●□●●□□□□□□□□□■●●●●●●●


* Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam - Part 1*



Aap sallallahu alaihi wasallam darmiyani qad ke they , na bahut lambe  aur na chothe qad wale, rang khulta hua tha , na bilkul safed aur na hi  bilkul gandum ke jaisa, Aap sallallahu alaihi wasallam ke baal na bilkul  mudey huye sakht qism ke they aur na seedhe latke huye hi they.


.


Nuzul e wahi ke waqt Aap sallallahu alaihi wasallam ke umar 40 saal thi,  makka mein Aap sallallahu alaihi wasallam ne 10 saal qayam farmaya aur  is pure arsey mein Aap par wahi nazil hoti rahi aur madina mein bhi Aap  sallallahu alaihi wasallam ne 10 saal qayam kiya.


.


Aap sallallahu alaihi wasallam ke sir aur dadhi mubarak  mein 20 baal bhi safed nahi huye they.



Aap sallallahu alaihi wasallam ka seena bahut kushada aur  khula hua tha , Aap sallallahu alaihi wasallam ke baal kano ki lau tak latke  rahte they.Anas Radhi allahu anhu kahtey hain ki Maine Aap sallallahu alaihi wasallam se zyada khubsurat kisi ko nahi dekha


.


Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ka chehra chand ki  tarah khubsurat tha, Jab bhi Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam kisi  baat par khush hote to chehra mubarak chamak uthta tha aisa malum  hota jaise chand ka tukda ho , aur hum aapke chahre se aapki khushi ko jaan lete.


.


Anas Radhi allahu anhu ne farmaya ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki hatheli se zyada naram aur  nazuk koi hareer aur debaz ( resham) mere haatho ne nahi chuaa  aur  Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki khushbu se behatr aur pakiza khushbu ya atar maine kabhi nahi sungha.


.


Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam parda nasheen kuwari ladkiyon se bhi zyada sharamile they


Sahih Bukhari, Vol 5, 3547, 3551, 3552, 3556, 3561,3562    


.......●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●.........



Bismillahirrahmanirrahim



 Hadith: Ye wo pahaad hai jis sey hum muhabbat kartey hain aur wo humse muhabbat  karta ha



Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki main Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath aapki khidmat ke liye kahi bahar gaya , phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam wapas huye to Uhad pahad ko dekhkar farmaya ki ye wo pahaad hai jis sey hum muhabbat kartey hain aur wo humse muhabbat  karta hai


Sahih Bukhari, Vol 4,2889


■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■


Bismillahirrahmanirrahim



Hadith: Jisney mujhe Khwab mein dekha usney mujhe hi dekha



Abu Hurirah Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  mere naam ke upar apney naam rakho  magar meri kuniyat (abul-Qasim) ikhtiyar na karo aur jis shaksh ne mujhe khwab mein dekha to beshaq usney mujhe dekha kyunki shaitan meri surat mein nahi aa sakta .


Sahih Bukhari, Vol 1, 110


......■■■■■■■■■■■■■■■■■■■■.......


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim



Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Kaddu Se Muhabbat


Ishaq bin  Abdullah bin Abu Talha se rivayat hai ki mainey anas bin malik se suna ki ek tailor ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko khaney par bulaya anas bin malik ne kaha ki main bhi is dawat mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath gaya us tailor ne roti aur shorba jismein Kaddu aur bhuna hua gosht tha Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke samney paish kar diya mainey dekha ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kaddu ke tukdey piyaley mein talassh kar rahey they us din se main bhi barabar kaddu ko pasand karta hun.

Sahih Bukhari, Vol 3, 2092


...................................



INSHAALLAH AGAE AUR HADITH IS PAGE PAR UPLOAD HOGI















Comments

Popular posts from this blog

ЧТО ТАКОЕ ИСЛАМ? ОСНОВА ИСЛАМА (ЧАСТЬ 1 ИЗ 4)

ПОЧЕМУ ИСЛАМ?