Jumma Hadith

 Jumma Hadith






Juma ke din ki fazilat

------------

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya beshak juma ka din tamam dino ka sardar aur Allah Subhanahu ke nazdik sabse zyada azmat wala din hain is ka darja Allah Subhanahu ke nazdik Eid ul Adha aur Eid ul fitr se bhi zyada hain is ki paanch (5) khususiyat hain Allah Subhanahu ne is din Adam Alaihi Salam ko paida farmaya isee din uko zameen par utara isee din Allah Subhanahu ne inn ko wafat di aur iss din mein ek aisa waqt hai ke banda usmein jo bhi Allah Subhanahu se mange Allah Subhanahu usay dega jab tak ke haram cheez ka sawal na karen aur isee din Qayamat aayegi, Juma ke din har muqarrab farishtein asman, zameen, hawayein, pahad aur samandar (Qayamat ke aane se) darte rehte hain

Sahi Al Jame, 2279-Hasan


•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••


Juma ke din Rasool-Allah SallallahuAlalhi Wasallam par ziyada se ziyada durud bheja karo

Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi Wasallam Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai. 

SunanAbuDawud, Vol 1,1035 ( Sahih) 


•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••


Yahudi Juma ke din par humse bahut hasad karte hain

----

✦  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Yahudi hamare upar Kisi Cheez ka itna hasad nahi karte jitna wo Juma ke din par hasad Karte hai Jabke Allah Subhanahu ne ye din hame diya aur wo is say mehrum rahe wo hamare Qible par bhi hasad Karte ke Allah Subhanahu ne hame ye qibla diya aur wo is say mehrum rahe aur wo imam ke peeche hamare Aameen kehne par bhi hasad Karte hai

Musnad Ahmed 10691 Sahih



Comments

Popular posts from this blog

ЧТО ТАКОЕ ИСЛАМ? ОСНОВА ИСЛАМА (ЧАСТЬ 1 ИЗ 4)

ПОЧЕМУ ИСЛАМ?