Ek Ladki Aur Shaitan Ki Kahani
Ek Ladki Aur Shaitan Ki Kahani
Uske Naqaab Pahanne ke Baad Usne Kaafi der tak Aine (mirror ) Dekhne Ke Dauraan Ek Shaitaani Awaaz uske Kaano Me padi
" Meri Azeez Kuch Cheez ki Kami hai ! Tumhara chehra Peela Lag raha Raha Hai.......chalo Bhi ! Halqa sa Makeup Kuch Nuqsaan Nahin Pahunchaata"
Usne Haath Malte hue Lipstick uthaayi Aur Kuch der Sochne Lagi...
Kuch Der Baad Shaitaan ne Dobara Sargoshi ki
"Laga bhi lo ! Bahut Se Niqaabi Ladkiyan Lagaati hain , Fir Tum kyon nahin Laga sakti ?"
Usne Aine Me apni Parchhaayi Se kaha
" Lekin Kuch ladkiyan Makeup karti hain, Iska Matlab Ye nahin Ke ye Sahi Hai.. Aisa nahin hai ? Bahut Si ladkiyan Naqaab Nahin pahanti..Iska matlab ye Nahin Ke Main Unki Tarah Niqaab na Pahnu...??"
Shaitaan Ne dobara Awaaz lagaayi
" Haan ! Lekin tum Makeup Karne se Zyada Khoobsoorat Dikhogi"
Thodi si Hichkichahat (hesitation) Ke baad..
Usne Lipstick Uthaayi Aur apne Hoton Par lagaane Lagi Achanak Wo Ruk Gyi
"Ruko" Usne Apni Parchhaayi Se kaha
"Kya Main Niqab Isliye nahin Pahanti ke Kisi Ghair Mard ki Gustaakh Nigaahon Se Mahfooz
Rahoon ?? Makeup Lagaana se Fir Niqaab Pahanne Ka kya Maqsad "
Kuch Der Khamoshi Rahi,
Ek Baar Phir Shaitaan Ne Awaaz lagaayi
"Meri Azeez ! Tum Make up Apne Liye Karti Ho , Dusron Ke liye Nahin "
Ladki Ne kaha
" Agar Main Apne Liye Makeup Karti Hoon Toh Ghar Par Kyon Nahin Karti ??"
Kuch deir Khamoshi Ke baad Shaitaan Ne
Awaaz lagaayi
"Achha accha ! Toh Aap kya Kahna Chaahti Ho ?!!
Kya Aap mujhe Ye batana Chaahti Ho Ki Makeup Haram Hai ???
Ladki Ne kaha
"Bilkul nahin !"
"Makeup Haram Nahin hai, Agar Ladki Apna Makeup Sirf Apne Husband Ke liye Kare Ya Aisi Jagah Make Up kar sakti hai Jahan Mard aur Aurat ek Saath (mixing) Na hon"
" Sabse Zyada Zaroori Baat ye Hai ke Ghair Mard Aapko Makeup Ke saath Na dekh paaye"
Shaitaan ne Awaaz di
"Aapko Aisa kisne Kaha ??!"
Ladki Ne kaha
"Allah ne !! Quran Me Suran Noor Ayah 31 me kaha hai.......Aur Ab tum Yahan Se chale jaao !!...........
A’ydhu billahi mina shaytani rajeem (Main shaitaan Se panaah chaahti hoon)"
Alhamdulilah! Fir iske Baad Koi Awaaz nahin Aayi !!
Usne Aine me Dekhkar Muskuraaya Aur lipstick Neeche Rakh Di
Beshaq ! Main Allah Ki farma'bardaar Bandi (servant) Hoon Aur Uski Nazar Me khoobsoorat Hoon
Wo ek Candy Ke Piece Ki tarah Nahin hai jo
Logon Ki Gustaakh Nigaahon Ko Apni Taraf Ma'el (attaract) Kare Wo ise Pasand karti Hai kyonki Qudrati Haya Hi ek Aisi cheez hai Jo usko Khoobsoorat Banaati hai!!!
"Allah Ke Nek bande Kitne Farma'bardaar Hote hai"
Room se Nikalne se Pahle Usne Kaha tha......
Please Share Story & Please Aik Accha Comment Kare Story Se Related
Comments
Post a Comment