Muharram Related Hadith


 


Muharram Related Hadith

Hadith: jisne Hasan aur Hussain se muhabbat rakhi usney mujhse Muhabbbat rakhi

 

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jisne Hasan aur Hussain se muhabbat rakhi usne mujhse Muhabbbat rakhi

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya  jisney Hasan aur Hussain se muhabbat rakhi usney mujhse Muhabbbat rakhi aur jisney unse bugz rakha usney mujhse bugz rakha(yani dushmani rakhi)
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 143 - Hasan

...........................................



Hadith: Hussain ( radi allahu anhu) mujh se hain aur Main Hussain se hu

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:   Hussain ( radi allahu anhu)  mujh se hain aur Main Hussain se hu 

Said Bin abu Rashid Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Yala bin Murrah  ne kaha ki wo Log Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ke saath Daawat e Taam (khane ki dawat) ke liye nikley Hussain Gali mein khel rahey they NABEE  Sallallahu Alaihi Wasallam logon se aaagey badey aur apney haath phaila diye (hazrat Hussain Radi Allahu Anhu ) idhar udhar bhagney lagey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam unhey hasatey rahey yahan tak ki unko pakad liya  Aapney ek haath thodi ke neechey aur dusra haath sir ke upar rakha aur Bosa liya phir farmaya Hussain ( radi allahu anhu) mujh se hain aur Main Hussain se hu aur ALLAH us sey Muhabbbat rakhta hain jo Hussain se muhabbbat rakhta hai

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  144 ( Hasan)

 ......................................................

Mafhum-e-hadith: Ummul Momeneen Khadija Radi Allahu Anha ka jannat mein mahal

Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-hadith: Ummul Momeneen Khadija Radi Allahu Anha ka jannat mein mahal

---------------------

 
 

Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Jibril alaihi salam Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaye aur kaha ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Khadija Radi Allahu Anha aapke paas ek bartan liye aa rahi hai jismein salan ya (farmaya) khana ya (farmaya) peene ki ki cheez hai jab wo Aapke paas aaye to unke RAB ki janib se unhe salam pahucha dijiyega aur meri taraf se bhi , aur unhe jannat mein motiyon  ke ek mahal ki basharat de dijiyega jaha na shor aur hungama hoga aur na takleef aur thakan

Sahih Bukhari,  Vol 5, 3820




 ...............................................................

Hadith: Main tumhare beech do bhari cheein chorh kar ja raha hu ek to Quran aur dusra Ahl-e-bait




Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Main tumhare beech do bhari cheein chorh kar ja raha hu ek to Quran aur dusra Ahl-e-bait

--------------
✦ Hushain bin hayyan se rivayat hai ki Zaid radi allahu anhuma ne kaha ki ek din Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam khutba sunane ke liye khade huye 
aur farmaya main tumhare beech do bhari cheezein chorh kar ja raha huek to Allah ki kitab hai jismein hidayat aur noor hai to Allah ki kitab ko thame raho 
aur isko mazbuti se pakde raho aur dusri cheez mere ahl-e-bait hain 
main Allah ki yaad dilata hu tumhe 
mere ahl-e-bait ke mutalliq , hussain radi allahu anhu ne kaha Ahl-e-bait kaun hain eh zaid ?
Kya Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki biwiya ahl-e-bait nahi hain ? 
Zaid radi allahu anhu ne kaha ki biwiya bhi ahl-e-bait mein dakhil hain , aur Ahl-e-bait wo hain jin par zakat haram hai Hushain radi allahu anhu ne kaha ki wo kaun log hain 
? Zaid ne kaha ki Wo Ali aur Aqil aur jafar aur Abbas radi allahu anhuma ki auladein hain phir Hushain ne pucha ki in sab par sadqa haram hai to zaid radi 
allahu anhu ne kaha HAAN
Sahih Muslim, Vol 6 , 6225



.............................................

Hadith : Hasan aur Hussain Radi allahu anhuma Jannat ke jawano ke sardar hain



✦ Hadith : Hasan aur Hussain Radi allahu anhuma Jannat ke jawano ke sardar hain

-----------
✦ Abu Saeed Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Hasan aur Hussain Radi allahu anhuma Jannat ke jawano ke sardar hain
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1701-Sahih 


........................................................



✦ Hadith: jisne Hasan aur Hussain radi Allahu anhuma se muhabbat rakhi usne mujhse Muhabbbat rakhi*

*Bismillahirrahmanirraheem* 


*✦ Hadith: jisne Hasan aur Hussain radi Allahu anhuma se muhabbat rakhi usne mujhse Muhabbbat rakhi*

--------------------

✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Hazrat Hasan Radi Allahu Anhu se farmaya Eh ALLAH mein is se Muhabbat karta hu Aap bhi is se Muhabbat kijiye aur jo unse Muhabbbat kare usko bhi Mehboob rakhiye phir Aap Salllallahu alaihi wasallam ne Hasan radi allahu anhu ko seene se lagaya 

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 142 - Sahih 


............................................................


Hadith : Eh Allah jo Hasan aur Hussain radi allahu anhuma se muhabbat kare, tu bhi unse Muhabbat farma




Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Eh Allah jo inse (Hasan aur Hussain radi allahu anhuma se) muhabbat kare, tu bhi unse Muhabbat farma
-------
✦ Usama bin Zaid Radi allahu anhu se rivayat hai ki ek raat mein kisi kaam se Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke paas gaya Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam apne upar kuch lapete huye they mujhe malum nahi wo kya tha jab main kaam se farig hua to pucha ye kya hai to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne usko hataya to usmein Hasan aur Hussain Radi allahu anhuma they Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye dono mere aur meri beti ke bete hain , Eh Allah main inse Muhabbat karta  hu tu bhi inse muhabbat farma aur jo inse muhabbat kare unse bhi Muhabbat farma
Jamia Tirmidhi , Vol 2,  1702-Sahih 
-------


......................................................


Please  Share Bhi Zaroor Kare............❤





















Comments

Popular posts from this blog

ЧТО ТАКОЕ ИСЛАМ? ОСНОВА ИСЛАМА (ЧАСТЬ 1 ИЗ 4)

ПОЧЕМУ ИСЛАМ?