Muharram

 Muharram 


 


Asslamo Alykum 


 MUHARRAM KA MAHINA


Ameer'ul'Momineen Saiyedna Usman Ghani رضی الله عنہ Farmate hai Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya...


Muharram Ke Mahine ki Izzat-Wa-Takrim Karo, Ye Allah Taa'la ka Mahina hai, Jisse Muharram Ke Mahine ki Taa'zim O Toukir ki Allah Taa'la Use Jannat Me Izzat Wa Takrim Se Nawazega...


Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya "Jisne Zull'Hijjah Je Mahine ke Bad Aakhri Din Aur Muharram Sharif ke Pehle Din Roze Rakhhe, Goya Usne Saal Bhar Roze Rakhe Aur Uske 60 Saal ke Gunaah Baksh Diye Jaenge...


Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ki Pehli, 10vi aur Aakhri Tarikh Ke Roze Rakhe Allah Taa'la Use Jannat Me Ese 30 Sehar Ata Farmayega ke Jiske Har Mehal me 30-30 Kamre Honge Aur Har Mehal Me Mukhtalif Darje Honge, Jinme Ese Baagat Honge Jisme Behre Jari Rahegi Aur Hoor-O-Gilma Khidmat ke Liye Hazir Rahenge...


Aage Irshad Farmaya "Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ke Pehle 10 Din Roze Rakhhe Goya Usne 10,000 Saal Esi Nafil Ibadat Ki Ke Raate Qayam Me Aur Din Roze me Guzara...


Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke "Jo Saksh Apne Wajood Par Dozakh Ki Aag Haram Karna Chahta hai Usko Chahiye Ke Muharram Sharif Ke Roze Rakhhe...


Aage Irshad Farmaya "Muharram ke Mahine Ke Jumma ki Raat me Ibadat Karne Wala Esa hai Jese Use Shabe Bar'at Naseeb Huyi....


ASHURA KI FAZEELAT


Hazrate Ibne Abbas رضی الله عنہ Se Marvi hai ke Huzur ﷺ Madina Munawwara Tashrif Laye To Apne Yahood ko Ashura Ke Din Ka Roza Rakhte Dekhkar Pucha ki Tum Is Din Roza Kyo Rakhte ho???


Unhone Jawab Diya Ki Ye Esa Din hai Jisme Allah Taa'la ne Moosa Aleyhissalam Aur Bani Israeel Ko Fir'on Aur Uski Qoum Par Galba Farmaya Tha Lihaza Hum Tazeeman Is Din Ka Roza Rakhte hai, Ispar Huzur ﷺ Ne Farmaya Ki Hume Moosa Aleyhissalam Se Nisbat Jyada Qareeb Hai Chunache Aapne Bhi Us Din ka Roza Rakhne ka Huqm Diya..

Jab Aap Madina Munawwara Tashrif Laye To Is Din ki Justaju ki Taqeed Ki Yaha Tak Ke  Aakhri Umr Sharif Me Farmaya Ki Agar Me Aainda Saal Tak Zinda Raha to Aainda 9 Zill Hijja Aur 10 Muharram Ka Roza Rakhunga Magar Apne Usi Saal Wisal Farmaya Aur 9vi ke Siwa 10vi ka Roza Na Rakh Sake Magar Apne Is Din 9vi Aur 10vi Aur 11vi Muharram Ke Dino me Roza Rakhne Ko Pasand Farmaya...


Jesa ke Farmane Nabawi hai Is Din se Ek Din Pehle Aur Ek Din Bad Roza Rakho Aur Yahood Ke Tarike ki Mukhalifat Karo Kyonki Woh Ek Din hi ka Roza Rakhte the....


Behayki Ne Sho'abul Imaan Me Riwayat Naql Ki hai Ki Jisne Ashura Ke din Apne Ghar walo Aur Ahal-Wa-Ayal Par Wus'at ki Allah Taa'la Uske Sare Saal Me Wus'at Aur Barkat Ata Farmata hai...


Tabrani Ki Ek Munkar Riwayat Me hai ki Is din me Ek Dirham Sadqa Karna 7 Lakh Dirham Ke Barabar hai Aur Woh Hadees Jisme hai Ki Jisne Is Din Surma Lagaya Woh Is Saal Aankhe Dukhne se Mehfooz Rahega Aur Jisne Is din Gusl Kiya Wo Bimar Nahi Hoga...


Wazeh Ho Ki Is Din Hazrate Saiyedna Imam-E-Hussainرضي الله عنه Ki Sahadat Ka Din hai Iski Azmat, Raf'at, Allah ke Nazdik Uske Darja Aur Ahle Bait ke Maratib Se Is Din Ka Talluk Hai..


Khaas Tor par Khayal Karo Ke Kahi Rafzi Ki Biddato me Mashgool Na Ho Jao Jesa ki Wo Log Unke Hum Misl Rona,Pitna,Aur Ghum Ka Izhar karna Kyonki Ye Cheeze Momino Ke Akhlak Se Bahar hai.


Agar Ye Cheeze Acchi hoti to Unke Nana'jaan Huzur ﷺ Ka Youme Wisal In Umoor Ka Batrike Aula Mustahik hota Aur Hume Allah Kafi hai Aur Wahi Umda Madadgar hai...


📚(Mukashifat'ul'Quloob)



Comments

Popular posts from this blog

ПОЧЕМУ ИСЛАМ?

ЧТО ТАКОЕ ИСЛАМ? ОСНОВА ИСЛАМА (ЧАСТЬ 1 ИЗ 4)