By Aeram Noor

Asslamualikum Dear Blogger's

Author Syed Hamza Mallik

18 May Saturday ,

Ramadan Kareem

Dera blogger's Aaplog Se Guzarish Hai 
Aap Mere baton Ko Acche Se Smajhye Aur 
Padhye ,Aur Guzarish Hai Meri blogger's se
Aaplog Jude Rahye .

Aaplog ko btane Ja Raha hmm Ramadan ke Bare main Kuch batein bta raha hmm 

Jazakallah

Ramzan Ka Maheena

1. Har Gunah Ke Peeche Shaitan Ka Hath Nahi Hota, Ye Batane Ke Liye Mahe Ramadan Aaraha Hai.

2. Jab Wo Kareem Zaat Ummat Ko Bakhshne Par Aata Hai To Tohfe Me 'Ramadan' Ata Karta Hai.

3. Mout Ko To Aana Hi Hai, Par Jo Mout Ramzan Me Aaye Uski Baat Hi Kuch Aur Hai.

4. Fark Nahi Pardta Kisi Bhi Mousam Ke Aage, Haar Jayegi Ye Garmi Bhi Roze Daron Ke Imaan Ke Aage.

5. Ya Allah Hame Mah-e-Ramzan Ke Liye Sehtiyab Karde.

6. Mahine To Bohat Hain Par Ramzan Jaisa Koi Nahi.

7. Rasool'Allah (S.A.W) Ne Farmaya 'Ramzan Ka Mahina Jo Hi Aata Hai Jannat Ke Tamam Darwaze Khol Diye Jate Hain Hatta Ke Aik Bhi Band Nahi Rehta Aur Jahannum Ke Tamam Darwaze Band Kar Diye Jate Hain Ke Aik Bhi Khula Nahi Rehta Aur Tamam Sirkash Jinn Aur Shayateen Qaid Kar Liye Jate Hain (Sahi Muslim)

8. SubhanAllah Kya Fazilat Hai Iss Mahine Ki Zra Gour Kijiye Accha, Yahan Aap Aik Aur Baat Bhi Soch Sakte Hain Ke Abhi Jannat Me Kon Gaya Hai Aur Jahannum Me Koun..? Wo Sab To Qayamat Ke Baad Jayenge To Kyun Jannat Aur Jahannum Ka Tazkira Hadees Me Aa Raha Hai..?

9. SubhanAllah Gour Karne Wali Baat Hai Ke Ramzan Ka Umrah Hajj Ke Barabar Sawab Hota Hai, Lekin Yaad Rahe Ye Hajj Ko Saaket Nahi Karta, Hajj Ko Exceptional Nahi Kar Deta Ke Hajj Ke Badle Ab Ham Umrah Hi Karenge, Aisa Bilkul Bhi Nahi Hai, Lekin Uske Barabar Ajar Aur Sawab Deta Hai, To Allah Tala Ne Jisko Maalo Doulat Ke Fazl Se Nawaza Ho Wo Zaroor Is Mahine Me Umrah Ki Koshish Kare.

10. Darhakikat Ye Jannat Ke Darwaze Kholna Aur Jahannum Ke Darwaze Band Karna Ye Aik Alamat Hai, Ye Aik Ishara Hai Ke 'Iss Mahine Apne Rab Ki Ita'at Karke Apni Magfirat Hasil Karlo, Jahannum Ke Darwaze Band Kardiye Hain Iss Mahine Allah Ta'ala Ailaan Kar Raha Hai Ke Apne Se Ruk Jao, Mujhse Taoubah Karlo, Dekho Band Karliya Hai Hamne Jahanum Ko 'To Iss Hadees Me Alamat Farmayi Allah Ke Rasool (S.A.W) Ne Ke Iss Mahine Aasan Hai Neki Ka Karna. "Lihaza Apne Maasiyat Apne Gunnaho Se Sacchi Aur Pakki Taubah Kar Ke Rab Ki Rehmato Ka Mustahiq Hone Wala Azeem Mahina Hai Ye.

11. Sirf Kuch Din Door, Woh Sehri Ka Maza, Woh Quran Ki Tilawat, Woh Roze Ki Barkat,Woh Aftar Ka Intezar, Woh Tarawih Ka Sajda.

12. Be-Zubano Ko Jab Wo Zuban Deta Hai, Padne Ko Phir Wo Quran Deta Hai, Bakhshne Me Jab Aata Hai Wo Ummat Ke Gunnah To Tohfe Me Gunnahgaro'n Ko Ramzan Deta Hai.

13. Kitni Jaldi Ye Armaan Guzar Jata Hai, Peyas Lagti Nahi Iftar Guzar Jata Hai Ham Gunahgaro'n Ki Magfirat Kar Mere Allah Ibadat Hoti Nahi Aur Ramzan Guzar Jata Hai.

14. Bad Naseeb Hai Woh Shaks Jo Ramzan Ke Mahine Me Bhi Allah Ki Rehmat Se Mehroom Reh Jaye.

15. Rasoolullah (S.A.W) Ne Ramzan Ke Mutalliq Irshad Farmaya, Chaar Chizon Ki Ia Ramzan Me Kasrat Rakha Karo Kalima Taiyebah Aur Istighfaar Ki Kasrat Karo Jannat Ki Talab Karo Aur Aag Se Panaah Maango 'Ibne Khuzaimah: 1887'

16. Allah Ta'ala Ka Irshaad Hai 'Aye Imaan Walo Tum Par Roze Farz Kar Diye Gayen Hain, Jis Tarah Tum Se Pehle Logon Par Farz Kiye Gaye The, Taake Tumhare Andar Taqwa Paida Ho, Rasool-Akram (S.A.W) Ne Irshad Farmaya 'Jo Aadmi Sharai Uzr Aur Beemari Ke Bagair Ramzan Ka Aik Roza Bhi Chhod De, Phir Wo Uski Jagah Umar Bhar Bhi Roze Rakhe To Jo Cheez Faut Ho Gai Woh Poori Ada Nahi Ho Sakti.

17. Jo Shaks Allah Tala Ki Raza Ke Liye Aik Din Ka Roza Rakhega To Allah Tala Uske Aur Jahannum Ke Darmiyaan Aik Aisi Khandaq Bana Dega Jiski Masaafat (Distance) Aasaman Wa Zameen Ke Darmiyaan Ke Baraabar Hogi.

18. Hazrat Abu Huraira Razi Allah Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya 'Jab Koi Bhool Gaya Aur Kha Liya Pi Liya To Usay Chahiye Ki Apna Roza Poora Kare Kyun Ki Usay Allah Ta'ala Ne Khilaya Aur Pilaya.

19. 1 Ramzan Me Roza Rakhne Walon, Roza Poore Jism Ka Hota Hai Roza Aankho Ka Hota Hai In Aankho Se Hamne Movies Ya Kisi Gair Mehram Ko Nahi Dekhna Roza Kano Ka Hota Hai, In Kano Se Song Ya Kisi Ki Burai (Geebat) Nahi Sunni, Roza Zubaan Ka Hota Hai, Is Zubaan Se Hamne Kisi Ki Burai (Geebat) Ya Gair Mehram Se Baat Nahi Karni Na Hi Fazul Batein Karni Hai Roza In Hatho Aur Ungliyo'n Ka Hota Hai In Hatho Se Galat Kaam Ya Kisi Ko Marna Ya Kisi Gair Mehram Se In Ungliyo Se Chat Nahi Karni Jaise Ham Aaj Kal Relationship Me Hokar Apne BF\GF Ko Apna Samjh Kar Usay Batein Karte Chatting Karte Halake Wo Hamare Apne Nahi Gair Mehram Hi Hote Hain.

20. 2 Umeed Hai Aap Sab Samjh Gaye Honge Aur Aage Se Roza Makruh Nahi Karenge Sahi Tarah Se Poore Jism Ka Roza Rakhenge Lihaza Is Ramzan Me To Allah Ki Nafarmani Nahi Karna, Jo Likha Hai Maine Mere Bhaiyo Bheno Amal Karna Please Aapke Liye Hi Bhalai Hai Aapka Roza Allah Ko Bohat Pasand Aayega Agar Aapko Roze Me Time'Paas Hi Karna Hai To Tasbih Padhein Quran Padhein Namaz Aaram Se Padhein, In Shaa Allah Aapka Din Bina Takleef Ke Jaldi Guzar  Jayega Bure Kamo Se Perhaiz Karna.

21. Ya Allah..! Ramadan Mubarak Ki Aamad Hai Hame Zeyada Se Ziyada Nekiyan Kamane Aur Buraiyon Se Door Hone Ki Taufeeq Ata Farma Ameen.

22. Ibadat Wo Hai Jisme Zaruraton Ka Zikar Na Ho Sirf Uski Rehmaton Ka Shukar Ho.

23. Aye Roze Daar.! Shukar Kar Allah Ka, Ke Tere Paas Sehri Aur Iftari Ka Samaan Mojood Hai, Yaad Kar Unhe Jin Logo Ka Roza Faake Se Shuru  Hua Aur Iftaar Me Sirf  Pani Ke Aalawa Kuch Bhi Mayassar Na Hua.

24. Wo Mahina Aaraha Hai Jisme Duniya Ka Samaan Mehenga Aur Aakhirat Ka Samaan Sasta Ho Jata Hai.

25. Aye Magrib Ki Aazan Tere Kal Aur Aaj Me Kitna Farq Hai, Kal Tu Sabke Intezar Me Thi Aur Aaj Sab Tere Intezar Me Hain.

26. Kisi Ke Acche Din Aaye Ya Na Aaye Musalmano Ke Acche Din Aagai Hain 'Mahe Ramzan Mubarak'

27. Kuch Cheezain Aisi Hain Jo Ramzan Ki Rehmaton Ko Rok Leti Hai, 'Sharab Ki Aadat Ramzan Ki Rehmaton Ko Rok Leti Hai', 'Maa Baap Ki Na Farmani Ramzan Ki Rehmato Ko Rok Leti Hai', 'Rishtedaron Se Ladai Ramzan Ki Rehmaton Ko Rok Leti Hai' 'Dil Me Nafrat Paalna Kisi Ke Liye Ye Ramzan Ki Rehmato Ko Rok Leti Hai.

28. Aye Mahe Ramzan..! Aye Allah Ke Mehman, Muntazir Hain Tere Iman Wale Quran Wale Taraweeh Wale.

29. Garmi Chahe Kitni Bhi Ho In Shaa Allah Roze Poore Rakhenge Kyun Ki Ye Mere ImAan Mere Sabar Aur Mere Rab Se Muhabbat Ka Imtehan Hai.

30. Ramzan Me Aik-Aik Sajda Qeemti Hai.

31. Ibadat Ke Lamhon Me Mera Aik Kaam Karna Har Sehri Se Pehle Har Sehri Ke Baad, Har Iftar Se Pehle Har Iftar Ke Baad Apni Duaon Me Mujhe Yaad Rakhna.

32. Hadees-E-Paak Me Aata Hai Ke Ramzan Ka Qlb (Heart) Hai, Agar Ye Durust Raha To Poora Saal Durust Hai Isliye Iman-E-Rabbani Maulana Mujaddid Alf Saani (Rah) Farmate Hain Ke Ramzan Ke Mahine Me Itni Barkat Ka Nuzool (Nazil) Hota Hai Ke Baaqi Poore Saal Ke Mahino Ko Ramzan Ke Mahine Ke Saath Bhi Nahi Jo Qatre Ko Samandar Ke Sath Hoti Hai.

33. Chand Sa Roshan Ho Ramzan Aapka Ibadat Se Bhara Ho Roza Aapka Har Roza Aur Namaz Qubool Ho Aapki Yahi Dua Hai Allah Se Hamari.

34. Allah Ne Aapko Ata Kiya To Aap Gareebo Yateemo Miskeeno Faqeero Ka Haq Zaroor Ada Kariye, Allah Reham Kare Na Jane Kitne Yateem Bacche Bhookh Se Tarap Kar Mar Jate Hain Khuda Ke Waste Yateemo Ka Bhi Khayal Rakhein Unka Bhi Roza Hai Eid Hai, 'JazakAllahu Khair.

35. Aye Rozedaar Roza To Rakh Liya Toone, Ab Geebat, Jhooth, Chugli Se Usay Bachana Aur Tilawate Quran Namazo Ka Ehtimaam, Sadqo Ki Kasrat Se Usay Sajana.

36. Ya Allah Is Mubarak Mahine Ke Sadqe Ya Allah Har Beti Ke Naseeb Me Khushiyan Likh De, Har Beti Ke Ghar Me Rizq Likh De Har Beti Ke Baap Ki Lambi Umar Likh De Har Beti Ke Bhai Ki Hifazat Likh De Har Beti Ke Shohar Ke Ghar Me Sukoon Likh De 'Ameen'

37. Ramadan Is Coming, Shayatan Is Running, Muslim's Are Preparing, Hell Is Closing, Heaven Is Opening.

38. Tamam Muslmano Ko Mubarak Ho Is Mahine Ki, Jisme Quran Nazil Hua, Jisme Shaitan Ko Qaid Kardia Jata Hai, Jisme Nafil Ka Sawab Farz Ke Barabar Hai, Jisme Jahannum Ke Darwaze Band Kiye Jate Hain, Jisme Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, 'Rehmato Barkato Wala Mahe Ramzan Mubarak Ho.

39. Shab-E-Qadr Me 4 Qism Ke Logon Ki Magfirat Nahi, 'Sharaabi' 'Walidein Ka Na Farman' 'Halal Rishte Todne Wala' 'Bugz Wa Qeena Rakhne Wala.

40. Ramzan Ab Aa Gaya Mosam Hai Neki Ka Baharo'n Ka.

41. Duniya Jis Bhook Peyas Se Darti Hai Islam Ne Usay Ibadat Bana Diya.

42. Aur Phir Khuda Ne Apne Bando Par Aik Karam Ki Nazar Farmai Jisme Hame Mahe Ramzan Ata Kiya.

43. Bakhsish Ka Hai Saman Ye Ramzan Meherbaan.

44. Ramzan. R- Roza Rakhna, A-Allah Se Darna, M-Masjid Ko Jana, Zakat Dena, A-Aacche Kaam Karana, N-Namaz Padhna.

45. Fuzool Kamo Se Fuzool Baton Se Bacho Rozedaro Fuzool Baton Se Quran-E-Paak Ki Tilawat Acchi Aksar Ham Roze Me Time Paas Karne Ke Liye Fuzool Batein Karte Chat Karte Groups Inbox Ya Call Par, Roza Allah Ke Liye Rakh Rahe Ho Insan Ke Liye Nahi Jo Apna Poora Din Insano Se Fuzool Bate Karte Rehte Ho, Tasbih Quran Padho Allah Ka Zikar Karo Aur Allah Hi Se Baat Karo, Allah Tumse Muhabbat Karta Hai Insano Se Zeyada Jiske Liye Aap Pura Din Bhookhe Peyase Rehte Ho To Yaad Bhi Usi Ko Karo.

46. Ramzan Ka Naya Riwaaj, 'Pehli Sehri Mubarak' 'Pehli Taraweeh Mubarak' 'Pehla Jumma Mubarak', Phir Din Badlne Par Pehla Hatakar Dusra Laga Kar, Dusra Yeh Mubarak Teesra Woh Mubarak, Kahan Ja Rahi Hai Ummat Yaad Karo Apne Kuch Saal Pehle Wale Din Jab Yeh Mobile Phones Kuch Nahi The, Tab Kon Kisko Kaise Iss Chiz Ki Mubarak'baad Deta Tha, Kabhi Kisi Se Suna Kabhi Kisi Ko Muh Se Bola Kabhi Aapas Me Yeh Baat Pe Charcha Ki Nahi Bas Hamko Hamara Qeemti Roze Ka Wakht Aise Be-Fuzool Be-Matlb Photos Share Karne Me Barbaad Karna Hai, Jiski Koi Hadees Nahi Aur Na Hi Koi Neki.

47.  Allah Ne Har Neki Ka Badla Batla Dia, Roze Ka Sila Mai Khud Hun Usne Farma Diya.

48. Roze Se Mehekti Jo Khushbu Usne Har Mushk Ambar Ko Sharma Diya.

49. Ya Allah..! Aaj Har Roze Daar Ko Himmat De Sabar De Aur Apna Khasusi Rehem Farma Aur Unki Har Dua Poori Farma, Apni Barkato Se Nawazna Apni Rehmaton Me Rakhna Apne Peyaro Me Shumar Karna.

50. Roza Jism Ki Zakaat Hai.

Please Comment 

Name*
Email*

Please Comment

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

ПОЧЕМУ ИСЛАМ?

ЧТО ТАКОЕ ИСЛАМ? ОСНОВА ИСЛАМА (ЧАСТЬ 1 ИЗ 4)