Asslamualikum 
Dear Viewer's In This Blog Get Knowledge In Islam 


Aapke samne aik aisi bt bta raha hu Jo bhut 
Hi acchi bt aur acchi sikhne ko Milega Jazakallah.

😊Please Read Please 

 301 Sajde Ka Hi To Inkar Kiya Tha Shaitan Ne,  Shaitan Ne Koi Zina Kiya Tha, Kuch Galat Kiya Tha, Koi Sharab Pee Thi, Koi Juwa Khela Tha, Kya Kiya Tha, Koi Sheerk Kiya Tha Shaitan 1 Sajde Ka Inakri Hua Tha  Ek Sajde Ka Inkaar Kar Ke Wo Hamesha Ke Liye Mardood Ho Gaya.

302. Mere Bhaiyon Aur Behno Ham Chote Chote Maslo Ko Masail Bana Kar Baithe Hain, Mar Jana Hai Yeh Bhi To Ek Bada Masla Hai Ham to Purani Chadar Utar Kar Bistar Par Nayi Chadar Bichwate Hain Aur Jiss Wakht Mitti Ka Bistar Hoga..? To Uss Wakht Kya Baat Banegi Aur Mitti Chadar Hogi "Toh Uss Wakht Kiya Hoga"?

304. Mera Husn Itna Sasta Nahi Ke Instagram Pe Nelaam Ho Jaye Alhamdulillah Mai Muslman Hun  Parda Meri Zeenat Haya Mera Iman Hai Gairat Mera Guroor Hai Aur Quran Meri Zindagi Hai.

305. Kabristan Me Kya Khoob Likha Tha "Padhle Dua Kisi Ke Liye Kal Tu Bhi Tarsega  Isi Ke Liye".

306. Jo Galti Nahi Karta Wo 'Farishta' Hai, Jo Galti Kar Ke 'Datt' Jaye Wo Shaitan Hai Aur Jo Galti Karke Tauba Karle Wo 'Insan' Hai.

307. Bharosa Bolne Mien 'Second' Lagta Hai Sochne Me 'Minute'  Lagta Hai Samjhne Me 'Din' Lagta Hai Sabit Karne Me Poori Zindagi Lag 'Jaati' Hai.

308. Bada Purse Nahi Bada Dil Hona Chahiye Kisi Ko Kuch Dene Ke Liye.

309. Aapka Akhlaq Wo Phool Hain Jo Aapke Chale Jane Ke Baad Bhi Khushbo Deta Rehta Hai.

310. Jab Arsh Wale Se Raabta Mazboot Ho To Farsh Walo Se Raabte Ki Zaroorat Nahi Padti.

311. Geebat Aisa Gunnah Hai Jiski Maafi Sirf Usi Se Mangi Jati Hai Jiske Bare Me Geebat Ki Gai Ho.

312. Bolne Se Mana Nahi Kiya Geebat Karne Se Mana Kiya Hai, Dil Rakhne Ke Liye Mana Nahi Kiya Hai Dil Todne Ke Liye Mana Kiya Hai, Sunne Se Mana Nahi Kiya Bura Aur Geebat Sunne Se Mana Kiya Hai, Hasne Se Mana Nahi Kiya  Kisi Ka Mazaq Udane Se Mana Kiya Hai,

313. Aap (S.A.W) Ne Itni Khubsurat Aur Haseen Zindagi Bitai Hai Jo Koi Bita Nahi Sakta, Iss Amal Par Chalo Iss Sunnat Par Chalo Nabi Ki Sunkar Chalo Beshq Tumhe Wo Duniya Milegi Jiska Tum Andaza Tak Nahi Laga Sakte, Duniya Aur Aakhirat Dono Khubsurat Ban Jayegi Bas Iss Khubsurat Zindagi Par Amal Karlo 'Ya Allah Hame In Bato Par Amal Karne Wala Bana De' Ameen Summa Ameen.

314. Apni Zindagi Me Allah Ko Sath Lekar Qadam Uthao, Ek Zindagi Mere Nabi-E-Paak (S.A.W) Lekar Aaye Aur Hame Wo Zindagi Jeeni Hai Aisi Khubsurat Zindagi Jisme Kamane Se Mana Nahi Kiya Hai Haraam Kamane Se Mana Kiya Hai Bolne Se Mana Nahi Kiya Hai Jhoot Bolne Se Mana Kiya Hai, Sone Se Mana Nahi Kiya Namaz Chodne Se Mana Kiya Hai, Nikah Se Mana Nahi Kiya Zinah Karne Se Mana Kiya Hai, Len-Den Se Mana Nahi Kiya Dhoka Dene Se Mana Kiya Hai, Tijarat Se Mana Nahi Kiya Sood Se Mana Kiya Hai.

315. Tum Lakh Khubusrat Sahi, Agar Iman Nahi To Kuch Nahi.

316. Galtiyan Is Baat Ka Saboot Hai Ki Aap Koshish Kar Rahe Hain.

317. Musibat Me Kabhi Ye Mat Sochein Ke Ab Kon Kaam Aayega Bas Ye Dekhna Ke Ab Kon Saath Chod Jayega.

318. Zindagi Tab Se Bahot Hi Aasan Ho Gai Jab Maine Ye Samjh Liya Ke Log 'Log Hi Hote Hain Logo Ko Log Mil Hi Jaya Karte Hain Koi Kisi Ke Na Hone Se Marta Nahi Hai' Waise Bhi Logo Ki Misal In Parindo Jasi Hai "Jo Shajar (Tree) Ko Sookha Dekh Kar Aur Aashiyana Bana Lete Hain"

319. Eik Qabar Par Likha Tha "Kisi Ko Kya Ilzam Doon Aye Dost, Zindagi Me Satane Wale Bhi Apne The Aur Dafnane Wale Bhi Apne"

320. Ladkiyo Socho Agar Khatoon-E-Jannat Aapse Ye Sawal Kare Ke 'Kya Mere Baba (S.A.W) Ka Deen Itna Mushkil Tha Ke Tum Parda Na Kar Saki..?'

321. Aap Apni Khushiyon Ke Liye Doosron Ki Khushiyon Ko Khaak Me Na Milao Yaad Rakho Ki Aapki Wo Khushi Bekar Hai Jiske Peeche Kisi Ke Aansu Hon.

322. Khayalon Ki Hifazat Karo Kyun Ki Ye Alfaaz Ban Jate Hain, Alfaazo Ki Hiazat Karo Kyun Ki Ye Aamal Ban Jate Hain, Aamal Ki Hifazat Karo Kyun Ki Ye Kirdaar Ban Jata Hai, Kirdaar Ki Hifazat Karo Kyun Ki Ye Aapki Pehchhan Ban Jata Hain.

323. Zindagi Se Zid Karna Chod Do Kuch Sile Is Jaha'n Ke Liye Nahi Hote Sabhi Khuwaishe'n Iss Duniya Me Poori Hone Lage To Phir Agle Jaha'n (Aakhirat) Ke Kya Baki Reh Jayega.

324. Khud Ko Aisa Banao Ke Jahan Tum Ho Wahan Tumhe Sab Piyaar Karen, Jahan Se Tum Chale Jao Wahan Tumhe Sab Yaad Karen, Aur Jahan Tum Pahunchne Wale Ho Wahan Sab Tumhara Intezaar Karen.

325. Buzurg Wo Hai Jo Apna Dil Dono Jahan Se Utha Le Aur Har Dam Aamal-E-Gaib Se Laakho Tajallliya Us Par Zahir Ho Aur Allah Ki Raah Me Woh Allah Ke Siwa Kisi Se Madad Na Chahe.

326. Mout Jab Aati Hai To Umar, Ameeri, Gareebi, Khubsurati, Badsurti, Nahi Dekhti Kyun Ke Sab Ka Anjam Mitti Hai.

327. Jab Kisi Zaroorat Mand Ki Aawaz Tum Tak Pohnche Toh Allah Ka Shukar Adaa Karo Ke Usne Apne Bande Ki Madad Ke Liy Tumhe Wasila Banaya.

328. Zindagi Se Kabhi Peyar Na Karo Ye Kisi Se Wafa Nahi Karti, Mout Ko Kabhi Mat Bhulao Ye Kisi Ko Dhoka Nahi Deti.

329. Rotiyan Teen Din Purani Thi  Aur Bhook Char Din, Wo Gareeb Bade Aaraam Se Kha Gaya Kyun Ki Roti Bhook Ke Muqable Tazi Thi.

330. Udaas Hain Iska Matlb Bardasht Kar Rahe Hain, Khamosh Hain Iska Matlb Sabr Kar Rahe Hain, Nadan Hai Iska Matlb Soch Samjh Kar Chalte Hain Jiska Jaisa Akhlaq Hoga Waisa Hi Amal Hoga.

331. Log Kehte Hain Sabse Zeyada Takleef Tab Hoti Hai Jab Aap Kisi Apne Ke Hatho'n Se Dhoka Khaten Hain Par Nahi Mai Bataun Sab Se Zeyada Takleef Kab Hoti Hai Jab Aap Apne Rab Ki Baat Na Mano Kabhi Rooh Ka Chillana Suna Hai Rooh Takleef Me Hoti Hai Jab Insan Nafs Ki Gulami Karta Hai Aur Allah Ko Naraz Kar Deta Hai.

332. Tum Accha Karo Aur Zaman Tumhe Bura Samjhe Yeh Tumhare Haq Me Behtar Hai Bajaye Is Ke Ke Tum Bura Karo Zamana Tumhe Accha Samjhe.

333. Kuch Log Jab Rote Hain To Isliye Nahi Ke Wo Kamzor Hote Hain Balke Isliye Ke Mazboot Rehte Rehte Thak Jate Hain.

334. Har Baat Keh Dene Ki Nahi Hoti, Kuch Sunne Ki Bhi Hoti Hai Kuch Samjhne Ki Bhi Kuch Bardasht Karne Ki Aur Kuch Seh Jane Ki.

335. Wakht Hi Toh Hai Badal Jayega Aaj Tera Hai Kal Fir Mera Aayega.

336. Khali Pait, Khali Jeb Aur Jhoota Peyar Insan Ko Zindagi Me Wo Sabaq Sikhata Hai Jo Bade Se Bada Ustad Nahi Sikha Pata.

337. Har Koi Milta Hai Yahan Pahen Kar Naqab Kaise Pehchane Kon Hai Accha Aur Kon Hai Kharab.

338. Gulam Hoon Apne Ghar Walo Ki Tarbiyat Ka Warna Mai Bhi Logo Ko Unki Auqaat Dikhane Ka Hunar Rakhta Hun.

339. Seekh Jao Wakht Par Kisi Ki Kadar Karna Kahin Wo Thak Na Jaye Tumhe Ehsaas Dilate Dilate.

340. Itna Na Boliye Ke Log Chup Hone Ka Intezar Karen, Itna Bol Kar Chup Ho Jayen Ki Log Dobara Sunne Ka Intezar Karen.

341. Bahot Takleef Hoti Hai Jab Aapko Samjhne Wala Hi Aapko Galat Samjhne Lag Jaye.

342. Kabhi Kabhi Chup Rehna Padhta Hai Sahi Logo Ko Jab Unke Apne Hi Galat Logo Ki Tareef Karte Hain.

343. Jo Insan Din Me Sabko Khush Rakhta Hai Wo Insan Rato Me Kisi Ke Liye Hadse Zeyada Rota Hai.

344. Wahi Log Aksar Akele Kyun Reh Jate Hain Jo Kisi Ko Dard Dene Ke Bare Me Sochte Tak Nahi..?

345. Khoobsurti Kapdo Se Nahi Ilm-O-Adab Se Hoti Hai.

346. Khubsurat Hai Wo Dil Jo Kisi Ke Dard Ko Samjhe, Khubsurat Hai Wo Hath Jo Kisi Ko Mushkil Wakht Me Thaam Lein, Khubsurat Hai Wo Soch Jo Kisi Ke Liye Accha Soche, Aur Khubsurat Hai Wo Insan Jisko Allah Ne Ye Khubsurtiyan Ataa Ki Hain.

347. Kab Ka Chodh Diya Hamne Logo'n Ke Peeche Bhagna Jis Ki Jitni Qadar Ki Usne Utna Hi Gira Hua Samjha.

348. Kisi Se Peyaar Karo Be'Hadd Karo Bas Umeed Mat Rakho Takleef Peyaar Karne Se Nahi Umeed Rakhne Se Hoti Hai.

349. Jo Insan Apne Hisse Ki Roti Bhi Baant Deta Hai Uss Insan Ka Rizq Kabhi Khatam Nahi Hota.

350. Chup Hun To Pathar Na Samjh Asar Hua Hai Kisi Apne Ki Baat Ka.

351. Rishte Ahsaas Se Bante Hain Rang Nasal Aur Chaal Dekh Kar To Jaanwar Khareede Jate Hain.

352. Zaroori Nahi Zindagi Me Wahi Kuch Mile Jo Ham Chahte Hain "Chah" Se Badh Kar Bhi Aik Aur Cheez Hoti Hai "Muqaddar" Jo Badlta Nahi Badal Deta Hai.

353. Jane Wale Ko Wasta Nahi, Rasta Diya Karo.

354. Isharo Se Chand Ke Tukre Ho Gaye Jo Suraj Ko Dekha To Palat Gaya Pedo Ne Sajde Kiye Jo Husn Dekha Mere Aaqa (S.A.W) Ka To Pathhar Ne Bhi Kalma Padh Liya 'La Ilaha Il Lalla Mo Hamadur Rasool Allah'

356. Dekh Raha Hoon Seh Bhi Raha Hoon Aur Khamosh Bhi Hoon, Kyun Ki Wakht Aaya Nahi Abhi Mera.

357. Muh Me Zabaan To Sab Rakhe Hain Magar Kamal Woh Karte Hain Jo Isay Samhal Kar Rakhte Hain.

358. Lehje Aur Alfaaz Ki Khubsurati Wo Kausiyaat Hain Jo Aapko Bin Dekhe Insan Ka Deewana Bana Deti Hai.

359. Guzar Jate Hain Ye Khubsurat Lamhe, Yun Musafiro Ki Tarha Yaadein Wahi Khadi Reh Jati Hai Ruke Raasto'n Ki Tarah.

360. Agar Chaar Shadiyo Ki Ijazat Shariyat Me Hai To Bewa Aur Talaq Yaafta Se Shadi Karna Bhi Shabie Shariyat Mohamad (S.A.W) Ki Sunnat Hai.

361. Jo Keh Diya Wo Alfaaz The, Jo Keh Na Sake Wo Jazbaat The, Jo Kehte Kehte Keh Na Paye Wo Ehsaas The.

362. Muskurahat, Hansi, Tabassum, Qahqahe, Sabke Sab Kho Gaye, Ham Bade Ho Gaye.

363. Mazak Wo Hota Hai Jo Bura Na Lage Kisi Ka Dil Dukha Dena Mazak Nahi Hota.

364. Jitne Sajde Jawani Me Karne Hai Karlo Kyun Ki Budhhape Me Aksar Log Bina Sajde Ke Namaz Padhte Hain.

365. Insan Ka Sabse Bada Dushman Uska Dimag Hota Hai, Pakad Pakad Kar Lata Hai Un Lamho Ko Jo Takleef  Dete Hain.

367. Tumhari Sabse Badi Jeet Pata Hai Kya Hai..? Tum Badla Na Lo Balke Maaf Kardo Usay Jisne Tumhe Sabse Zeyada Takleef Di Ho.

368. Log Aapse Nafrat Karne Lag Jate Hain Jab Wo Aapke Level Tak Nahi Pahonch Sakte.

369. Bhool Kar Bhi Apne Dil Ki Baat Kisi Se Mat Kehna Yahan Kagaz Bhi Zara Si Der Me Akhbaar Ban Jata Hai.

370. Jahil Ki Aik Ye Aadat Hai Ke Wo Baat Sunne Se Pehle Hi Jawab Dena Shuru Kar Deta Hai Baat Samjhne Se Pehle Jhagdna Shuru Kar Deta Hai.

371. Tumhari Zubaan Tumse Wo Hi Chahegi Jiski Tumne Usay Aadat Dali Hogi.

372. Mere Acche Wakht Ne Duniya Ko Bataya Ke Main Kaisa Hoon Aur Mere Bure Wakht Ne Mujhe Bataya Ki Duniya Kaisi Hai.

373. Aisa Bhi Hota Hai Ke Insan Me Rone Ki Himmat Baki Nahi Rehti Aur Log Samjhte Hain Woh  Sakht Dil Hai.

374. Apne Ghar Ki Batein In Bahar Ke Logo'n Ko Na Batao Tumhari Gair Maujoodgi Me Log Tumhara Mazak Udaenge.

375. Mere Bhaiyo Apne Nafs Ko Kabu Me Rakho Shaitan ko Gumrah Karne Koi Dusra Shaitan Nahi Aaya Tha Balke Ye Nafs Hi Tha Jisne Usko Iblees Bana Diya.

376. Agar Dhol Bajane Ka Itna Hi Shouq Hai To Zaroor Bajaye Bas Aik Choti Si Shart Hai Jab Aapke 18 Saal Ke Bete Ka Janaza Uthe Tab Dhol Bajana Jab Aapke 6 Mahine Ke Bete Ka Qatal Kardiya Jaye Tab Bajana Jab Aapki Beti Ke Sar Se Chadar Chhin Li Jaye Tab Bajana Aur Dawa Ye Hai Mera Ke 'Aap Us Wakht Dhol Kya Taali Tak Nahi Baja Paoge'

377. Acchi Soch Rakho Soch Se Alfaz Bante Hain, Alfaz Se Aamal Bante Hain, Aamal Se Kirdar Bante Hain, Kirdar Se Tumhari Pehchan Hoti Hai.

378. Apna Koi Kya Bigad Sakta Hai Apni Qismat To Usne Likhi Hai Jis Ka Koi Kuch Nahi Bigaad Sakta.

379. Mere Bhaiyo, Apne Aapko Aazad Na Samjho, Hamare Peeche Aik Taqatwar Zaat Hai, Jisay Hamare Har Aamal Ki Khabar Hai, Apni Zindagi Ke Rukh Ko Sahi Karlo.

380. Dariya Bankar Kisi Ko Dubana Bahot Aasan Hai, Magar Dariya Bankar Kisi Ko Bachaye To Koi Baat Bane.

381. Mai Jab Kisi Gareeb Ko Haste Hue Dekhta Hun To Yaqeen Aajata Hai Ke Khushiyon Ka Taalluq Daulat Se Nahi Hota Hai.

382. Koi Aapko Rokta Tokta Hai Intezar Karta Hai, Waqt Maangta Hai Hisab Mangta Hai To Aap Naseeb Wale Hain Kyun Ki Kismat Walo Ki Hi Fikar Karne Wale Milte Hain.

383. Na Mout Milti Hai Na Zindagi Milti Hai, Zindagi Ki Rahon PAR Be'basi Milti Hai Rula Dete Hain Na Jane Kyun Apne Jab Bhi Hame Koi Khushi Milti Hai.

384. Rab Ke Siwa Koi Nai Janta Ke Hamari Aik Muskurahat Ke Piche Hazaar Gam Chupe Hote Hain.

385. Agar Aapka Zameer Aur Niyat Saaf Hai To Is Baat Se Koi Fark Nahi Padhta Ki Aapko Koi Bura Kahe Ya Accha Aap Apni Niyat Se Jane Jayenge Logo Ki Soch Se Nahi.

386. Mere Bhaiyo Na Kisi Ki Burai Karo Na Kisi Ki Burai Suno.

387. Do Din Ki To Zindagi Hai Isey 2 Hi Usoolon Par Guzaro, 'Milo To Phool Bankar' 'Bikhro To Khushboo Bankar'

388. Aaj Tak Apni Khamoshi Per Nahi Pachtaya Jab Bhi Pachtaya Hun Apne Bolne Per Pachtaya Hun.

389. Agar Tum Us Wakht Muskura Sakte Ho Jab Tum Poori Tarah Toot Chuke Ho'n To Yaqeen Jano To Duniya  Me Tumhe Koi Bhi Nahi Tord Sakta.

390. Agar Tumse Galti Ho Jaye To Iblees Ki Tarah Daler Nahi Hona Chahiye Balke Mafi Mang Leni Chahiye Ke Ham Ibne-Aadam Hain (Aadam Ke Bete Hain) Ibne-Iblees Nahi Yani (Shaitan Ka Beta)

391. Mehnat Itni Khamoshi Se Karo Ke Tumhari Kamyabi Shor Machaye.

392. Sahi Wakht Pe Do Lafz Na Bole Jayen To Wakht Guzar Jane Ke Baad Lambi Kahaniyan Sunana Bekar Hai.

393. Kabhi Khuhsiyo'n Ko Hasil Karne Ke Liye Jhukna Padta Hai Aur Wo Jhukna Reaikan Nahi Jata.

394. Kuch Bato'n Ka Jawab Sirf Khamoshi Deti Hai Aur Khamoshi Hi Khubsurat Jawab Hai.

395. Ye Kaisa Daur Hai Yahan Koi Apne Dukh Se Itna Dukhi Nahi Hai Jitna Dusre Ke Sukh Se Dukhi Hai.

396. Dusro'n Ko Be Sukoon Karne Wala Kabhi Sukoon Nahi Pata Zindagi Ke Har Mod Pe Sulah Karna Sikho Kyun Ki Jhukta Wahi Hai Jisme Jaan Hoti Hai Akadna To Murdo Ki Pehchan Hoti Hai.

397. Mushkil Wakht Me Koi Dilasa Dene Wala Koi Ajnabi Bhi Ho To Dil Me Bas Jata Hai Aur Uss Wakht Me Kinara Kar Lene Wala Koi Apna Hi Kyun Na Ho Dilse Utar Jata Hai.

398. Acche Ke Sath Acche Raho Lekin Bure Ke Liye Bura Mat Bano Kyun Ki Tum Pani Se Khoon Saaf Kar Sakte Ho Lekin Khoon Se Khoon Nahi.

399. Shisha Aur Rishte Dono Nazuk Hote Hain Magar In Dono Me Aik Fark Zaroor Hota Hai Shisha Galti Se Toot Ta Hai Aur Rishte Galat Fehmi Se, Aik Chiz In Dono Ke Tukde-Tukde Kar Sakti Hai Wo Hai Galat Fehmi.

400. Jhoot Bol Kar Jeet Jane Se Behtar Hai Sach Bol Kar Haar Jao.


  Please Comments

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

ЧТО ТАКОЕ ИСЛАМ? ОСНОВА ИСЛАМА (ЧАСТЬ 1 ИЗ 4)

ПОЧЕМУ ИСЛАМ?