Asslamualikum Everyone

Aaiye Deen Ki Battein karte hai
Aur Acchi Acchi Battein Sikhen
Jazakallah

Nekiyan Karte Jao Or Dariya Me Daalte Jao, Jab Tufan Ayega Toh Yahi Nekiyan Kashti Ban Ke Niklengi.

2. Umar Bhar Galib Yahi Bhool Karta Raha Dhool Chehre Par Thi Aur Aaina Saaf Karta Raha

3. Ilm Ke Sath Amal Aur Daulat Ke Sath Sharafat Na Ho To Dono Bekaar Hain.

4. Koi Kehta Hai Duniya Peyar Se Chalti Hai, Koi Kehta Hai Duniya Dosti Se Chalti Hai, Lekin Jab Hamne Logo'n Ko Aazmaya Tab Pata Chala, Duniya To Matlab Se Chalti Hai.

5. Jab Tumhe Khushiyan Milne Lagen To 3 Chizo'n Ko Kabhi Mat Bhulna, Allah Ko, Uski Makhlooq Ko Aur Apni Asliyat Ko.

6. Shaitan Wale Jabar Karte Hain, Nabi Wale Sabar Karte Hein, Shaitan Wale Khilaf Karte Hein, Nabi Wale Maaf Karte Hein.

7. Dilo'n Mein Matlb Aur Zubaan Par Peyaar Rakhte Hein Ab Log Duniya Mai Yehi Karobaar Karte Hein.

8. Apna Dil Aur Mobile Itna Saaf Rakho Ke Agar Koi Dekh Le To Sharmindagi Mehsoos Na Ho.

9. Kisi Ki Nazar Mein Apni Izzat Dekhni Ho To Apni Nazar Mein Uski Izzat Dekh Lo, Isse Behtar Koi Aaina Nahi.

10. Jo Sukun Sadgi Mein Mila Wo Magrib Ke Fashion Mein Na Tha.

11. Farsh Par Khushi Kaha Dhund Rahe Hein Duniya Bina Mange Hi Khushiyaan Cheen Leti Hai Arsh Wale Se Bin Mange Khushi Milti Hai Tum ALLAH Ke Hokar To Dekho.

12. Phone Karne Walo Ke Liye Adab:- Pehle "Assalamualaikum" Karna, Phone Karne Wale Ka Apni Pehchan Karwana, Bila Wajah Ghanti Baja Kar Pareshan Na Karna, Agar Phone Na Uthaya Jaye To 3 Martabha Se Ziyaadha Raabtah (Miss Call) Na Karna.

13. Phone Uthane Walo Ke Liye Adab:- Bell Bajne Par Jawab Dena, Bila Sakht Zaroorat Aurat Ka Phone Par Jawab Na Dena, Salam Ke Baad Faoran Samne Wale Ka Ta'aaruf Hasil Karna.

14. Ek Sawal Poocha Gaya Muhabbat Kya Hai  Jawab Yeh Mila Ke "Jab Insan Bohat Hi Gehri Neend Mein Ho Aur Uske Kano Mein Aazan Ki Aawaz Aaye Aur Woh Apni Neend Ko Chord Kar Apne ALLAH Ke Liye Namaz Pardhne Khada Ho Jaye "Yeh Hai Sachhi Muhabbat"

15. Be Zubaan Si Hamdardi Insaniyat Ki Pehchan Karti Hai Kabhi Unhe Dukh Mat Dena Wo Bina Lafzo'n Ke Duayen Dete Hein.

16. Hamesha Khamoshi Ikhtiyar Karne Wale Be Zuban Nahi Hote Wo Sabar Ki Madad Liya Karte Hein Dil Ke Masoom Aur Nazuk Hote Hein Wahi Log Udasi Zindagi Guzara Karte Hein.

17. Agar Koi Aapki Umeed Par Jeeta Hai To Aap Bhi Uski Umeed Mat Toriye Kyun Ki Agar Umeed Toot Jaye To Insan Bhi Toot Jata Hai.

18. Badle Lena Meri Fitrat Nahi Bad'ua Dena Meri Aadat Nahi, Mujhe Jisse Shikayat Ho, Mujhe Jisko Jalana Ho, Mein Aankhein Band Karta Hun Khuda Par Chod Deta Hun.

19. Rona Hame Apne Gunnaho Par Chahiye, Ham Na Jane Kin-Kin Baato Par Roya Karte Hein.

20. Mitti Ka Jism Le Kar, Pani Ke Ghar Mein Hoon Manzil Hai Mout Par Har Pal Safar Mein Hun.

21. Jo Imaan Tera Tujhe Ghar Se Utha Ke Masjid Tak Nahi La Sakta Wo Tujhe Pulsirat Se Kaise Guzarega.

22. Sab Jhoothe Rishte Naate Hein, Sab Dil Rakhne Ki Baatein Hain, Kab Kon Kiska Hota Hai, Sab Asli Roop Chupate Hein, Ehsaas Se Khali Log Yahan Lafzon Se Teer Chalate Hain.

23. Zindagi Bas Safar Hai ALLAH Se ALLAH Tak.

24. Jo Dusron Ko Izzat Deta Hai Asal Me Wo Khud Izzat Daar Hota Hai, Kyun Ki Insaan Wahi Dusron ko Deta Hai Jo Uske Paas Hota Hai.

25. Sabse Bada Gunnah Wo Hota Hai Jo Karne Wale Ki Nazar Mein Chota Hota Hai.

26. Yaad Rakhna Zindagi Ek Khel Hai, Insan Ek Khilona Hai Khilona Kitna Hi Khubsurat Kyun Na Ho Ek Din Toot Hi Jata Hai

27. Apne Iman Ko Mazbut Banao Kyun Ki Tumhe Bhatkaye Aur Aap Bhatak Jaye Ye Nahi Hai Hamara Iman Sari Duniya Aapse Alag Rahe Phir Bhi Hamara Iman Tabdeel Na Ho Mahol Kaisa Bhi Ho Ham Na Badlen Hamesha Kalma Rahe Zuban Par "La Ilaha Illa Muhammadur Rasul Allah" Ye Hai Hamara Islam.

28. Deendar Rishte Dhund Lete Hain Log Khud Digree Kamane Me Lag Jate Hain Kuch Deen Seekhe Amal Ke Saath Age Batane Ki Koshish Karna Allah Aap Ke Ghar Ko Deendar Bana Dega.

29. Ek Jawan Ladke Ne Apne Dada Se Pucha "Dada Jaan Aap Log Pehle Kaise Rehte They ? "Na Koi Technology Na Media, Na Computer, Na Mobiles, Na Cars ? Dada Ne Jawab Diya Jaise Aaj Kal Tum Log Rehte Ho "Na Namaz, Na Deen, Na Roza, Na Tarbiyat, Na Ikhlaq, Na Sharam Na Haya" !

30. Agar Mout Ne Mujhse Yun Pucha Ke Teri 'Aakhri Khuwaish Kya Hai ? To Jawab De Meri Ruh "Na Zindagi Chaiye Na Jannat Chahiye Bas Jin Aaqa S.A.W Ka Ummati Hun Labon  Par Unka Kalma Chahiye !

31. Majboor Karti Hain Kuch Galtiyan Wakht Aane Par Galti Karne Wala Har Koi Galat Nahi Hota, Galti Ka Ehsaas Hokar Touba Na Kare Toh Galat Hai, Kisi Ke Bas Ki Baat Nahi Hai Bina Galti Ke Jeena.

32. Insan Dunia Ki Makhlooq Se Darta Hai Qabar Ke Aazab Ko Yaad Tak Nahi Karta Dunia Mein Bach To Sakta Hai Lekin Qabar Mein Koi Bacha Nahi Sakta

33. Zindagi Aassan Nahi Hoti Zindagi Ko Aasaan Banana Padta Hai, Kabhi Dua Karke Kabhi Maaf Karke Kabhi Sabar Karke Aur Kabhi Bahot Kuch Nazarandaz Karke.

34. Surat Aur Seerat Mein Sab Se Bada Farq Ye Hai Ki Surat Dhoka Deti Hai Jab Ki Seerat Pehchan Karwati Hai.

35. Na Mehram Se Hamdardi Ya Khair Ki Umeed Rakhna Apni Tabahi Ki Taraf Pehla Kadam Hai,  Allah Hame Haraam Se Bacha Kar Halal Ata Farmaye Ameen.

36. Ek Baat Bolun, Agar Koi Tumhare Bina Khush Hai To Usse Khush Hi Rehne Do.

37. Bohot Saude Hote Hain Sansaar Me Magar Sukh Bechne Wale Aur Dukh Khardne Wale Nahi Milte, Pata Nahi Kyun log Rishte Chord Dete Hein Lekin Zidd Nahi.

38. Shadi Maa Baap Ke Pasand Se Hi Karna Wo Tab Jab Hame Wo Na Mil Jaye Jispe Hame Khud Se Behtar Yaqeen Ho Agar Aisa Mil Jaye To Usi Se Karo Kyun Ki Hamne Usay Itna Chaha Ki Uska Dil Uska Masumpan Ho Jayega Ki Khud Wo Hame Aur Hamare Maa Baap Ko Kabhi Takleef Nahi Pahuchaenge.

39. Mazhab Ke Naam Par Zulam Wa Sitam Ham Nahi Karte Wafa Ki Aad Me Siyasat Ham Nahi Karte Zameen Ki Khokh Me Bhi Jate Hain  Gusal Karke, Watan Ki Paak Mitti Ko Kabhi Na Paak Nahi Karte.

40. Digreeyan To Taleem Ke Kharcho Ki Raseed Hai Asal Ilm Wo Hai Jo Kirdaar Me Jhalakta Hai, Aapka Kirdar Hi Aapki Pehchan Hai Warna 1 Naam Hazaro Insan Ke Hain.

41. Bohot Se Dard Hain Jo Mai Seh Raha Hun Mere Rab Bahot Si Hain  Jo Tujhse Akele Me Krunga.

42. Ham Farishto Ki Tarha Masum Nahi Hain Ke Hamse Gunnah Nahi Hoga, Na Hi Ham Shaitan Ki Tarha Mardud Hain Ke Ham Tuwba Na Karen.

43. Duniya Ka Khubsurat Tareen Lafz 'Allah' Duniya Ka Meetha Tareen Naam 'Mohammad' Duniya Ki Mukammal Tareen Qitab 'Quran' Duniya Ki Mukammal Tareen Warzish (Exercise) 'Namaz' Duniya Ka Khubsurat Tareen Paigam 'Aazan' Duniya Ka Khush Naseeb Insan Aap Kyunki Aap Alhamdulillah 'Musalman' Hain.

44. Aap Apne Mobile Me Apna Status Aisa Rakhein Ke Dekhne Wale Ko Sawab Na Mile To Gunnah Bhi Na Mile.

45. Taqabbur Chahe Doulat Ka Ho, Taqat Ka Ho, Rutebe Ka Ho, Haisiyat Ka Ho, Hus'n Ka Ho, Ilm Ka Ho, Hasab Nasab Ka Ho Chahe Taqwe Ka Hi Kyun Na Ho, Insan Ko Ruswa Aur Zalil Karke Hi Chodta Hai.

46. 'Dukh Me Kabhi Pachtawe Ke Aansu Na Bahao Balke Ye Socho Tum Wo Khushnaseeb Ho Jisko Allah Ne Aazmaish Ke Qabil Samjha Hai.

47. Ham Itna Zor Apne Aap Ko Durust Karne Me Nahi Lagate Jitna Zor Dusro Ko Apne Se Zayda Galat Sabit Karne Me Lagate Hain.

48. Jis Din Tum Dusron Ka Dard Khud Par Mehsoos Karne Lago To Samjh Lena Tum Ashraful Makhluqat Ho.

49. Khush Kismat Hain Wo Log Jo Dusro Ke Aansuon Ko Muskurahat Me Badalne Ka Fan Jaante Hain.

50. Baat Zaroorat Ki Nahi Qadar Ki Hoti Hai, Jagha Banani Padti Hai Dil Me Ho Ya Ghar Me.

51. Har Second Is Duniya Se Koi Na Koi Ho Raha Hai Ham Sab Us Qattar Mein Khade Hain Ham Mein Se Koi Nahi Janta Ke Ham Se Aage Kitne Log Hain Aur Hamare Baad Kitne Log Aayenge Apni Baari Aane Tak Hame Apne Rab Se Rishta Mazboot Karle Aur Apne Gunnaho Ki Maafi Mangle.

52. Life Me Koi Faida Nahi Kisi Ke Peeche Jane Ka, Hanste Hanste Apni Life Enjoy Karo Aur Koshish Karo Bhul Jao Usay Jo Bhul Gaya Tumhe.

53. Ham Log Facebook Instagram Par Ajnabi Hain Insaniyat Aur Akhlaq Se Jude Ham Log Siwaye Izzat Aur Ahtaram Ke Kuch Nahi De Sakte Aur Ye MashaAllah Sabse Behtareen Amal Hai.


54. Achhi Zindagi Aur Acchi Mout Ke Liye 7 Azeem Nekiyan, 1- Har Kaam Se Pehle Bismillah' Kehna. 2- Har Kaam Se Faragat 'Ke Baad 'Alhamdulillah' Kehna. 3- Galat Kaam Hojane Par 'Astagfirullah' Kehna. 4- Aayenda Ke Liye Kisi Kaam Ka Irada Karen To 'In Shaa Allah' Kehna. 5- Na Gawar Baat Par 'Lahaoul' Kehna. 6- Kisi Bhi Takleef Pe 'Inna Lil Lahi Wa Inna Ilaihi Raji Un' Kehna. 7- Har Wakht 'Kalma Tayeyaba' Ka Wird Karna (Dil Me Ya Zuban Se) In Shaa Allah-Ul-Azeez Allah Hame Kehne Sun'ne Se Zeyada Taufiq De Ameen Summa Ameen.

56. Behtreen Insan Kon Hai Iska Faisla Badtareen Kiya Karte Hain Isliye Behtareen Log Badtareen Halaat Se Ghabraya Nahi Karte.

57. Zindagi Ki Kitab Me Itni Galtiyan Na Karo Ki Pencil Se Pehle Rabbar Khatam Ho Jaye 'Tauba Se Pehle Zindagi.

58. Ek Aadmi Gusse Ka Bahut Tez Tha Ek Alim Ne Mashwara Diya 'Jab Gussa Aaye To Jungle Jakar Darakht Me Keel Thokna' Usne Aisa Hi Kiya, Aakhir Ek Din Uska Gussa Khatam Ho Gaya Usne Alim Ko Bataya Alim Ne Kaha 'Ab Uss Darakht Se Keelein Nikaal Lo' Uss Aadmi Ne Keelein Nikal Li Lekin Uss Darakht Me Surakh Ho Gaya Alim Ne Kaha 'Ye Wo Surakh Hai Jo Tum Gusse Ki Halat Me Logo Ke Dilon Me Kia Karte The.

59. Mout Ka Ek Din Muqarrar Hai Dua Karen Jahan Bhi Jis Jagha Bhi Aaye Hamara Khatma Eman Par Ho Ameen.

60. Hame Shariyat Ne Gunnah Se Nafrat Karne Ka Hukum Diya Hai, Gunahgar Se Nahi Hame Gunahgar Se Nafrat Nahi Karni Usko Gunnah Se Rokna Hai.

61. Jism Ki Zeenat 4  Cheezon Par Hoti Hai, 1- Kam Bolna. 2-Kam Khana. 3- Kam Sona 4- Kam Hasna.

62. Acchi Baatein To Sabko Acchi Lagtin Hain Agar Aapko Kisi Ki Buri Baat Bhi Acchi Lagne Lage To Ye Na Samjhein Aapko Peyar Ho Gaya Hai Balke Aapko Zaleel Hone Ki Aadat Ho Gai Hai.

63. Aap S.A.W Ne Farmaya Agar Jhuk Jane Se Tumhari Izzat Ghat Jaye To Qayamat Ke Din Mujhse Le Lena.

64. Oo Mere Bhai Behno Apne Aap Ko Allah Ke Waste Is Valentine Ki Zahalat Se Bachao Ye 4 Din Ki Chandni Hai  Us Din Ko Yaad Karo Jab Allah Ke Samne Khade Kiye Jaoge Kya Muh Dikhaoge Apne Allah Ko.

65. Chocolate, Promise, Valentine, Propose, In Sab Dino Ka Ek Din Hisab Liya Jayega Ek Dafa Yaad Karna Aakhirat Ke Din Sabke Hosh Udh Jayenge.

66. Ek Masjid Ki Diwar Pe Kya Khubsurat Baat Likhi Thi 'Agar Tum Gunnah Karte Katte Thak Gaye Ho To Andar Aao Allah Ki Rehmat Thaki Nahi.

67. Ye Velentine' Day Islam Me Haram Hai Are Kya Muh Dikhaoge Hazrat Muhmmad S.A.W Ko Kya Is Din Ke Liye Unhone Aansu Bahaye The Apni Seerat Na Bhulo Allah Ke Waste Ham Yahan Rehne Nahi Aaye Hain Hamara Asal Ghar Jannat Hai.

68. Jis Muashre Me Nikah Mehnga Ho Jaye Us Muashre Me Zina Ki Keemat 14 Feburay Ko 1 Phool Hota Hai.


69. Mohabbat Do Bewaqofo Ke Darmiyan Ek Mo'ayede Ka Naam Hai Dono Me Se Jise Pehle Aqal Aa Jaye Wo Beqafa Kehlata Hai.

70. Mohabbatein To Amal Se Nazar Aati Hai Mohtarma Baaton Se To Dukandar Mutassir Karte Hain.

71. Shaadi Ki Saari Rasme Khatam Karen Masjid Me Nikah Aur Aik Sada Sa Walima Yaqeen Mane Saare Mashi Masle Aur Nafsani Masahil Khatam Ho Jayenge.

72. Unki Khamoshi Se Daro Jinka Aapne Dil Dukhaya, Kyun Ke Agar Unhone Kuch Nahi Kaha Ya Kuch Nahi Kara To tnka Badla Allah Zaroor Lega.

73. Jism Ganda Ho To Log Door Hojate Hain, Dil Ganda Ho To Allah Door Hojata Hai Aur Jab Dono Gande Ho To Shetaan Kareeb Hojata Hai.

74. Kisi Ke Bare Me Bura Mat Socho Ho Sakta Hai Woh Allah Ki Nazar Me Hamse Accha Ho.

75. Ziyada Sochne Se Behtar Hai Ki Istagfaar Kiya Jaye Ziyada Sochna Mushkilat Ko Barhata Hai Aur Istagfaar Mushkilat Ka Hal Hai.

76. Hamesha Labon Par Durood Ka Zikar Kara Karo Kyun Ki Mout To Aake Hi Rahegi Agar Mout Aate Wakht Labon Par Durood Ka Zikar Rahe To Kya Khubsurat Mout Hogi.

77. Aasman Me Udne Wale Zara Ye Khabar Bhi Rakh Jannat Pahochne Ka Rasta Mitti Se Hi Guzarta Hai.

78. Logo'n Se  Zidd Karna Badla Lena Jhagda Karna Chord Do Kuch Sile Iss Jahan Ke Liye Nahi Hua Karte Sabhi Khuwaishe Iss Jahan Me Puri Hone Lagi To Phir Agle Jahan Ke Liye Kya Baki Rahega.

79. Maut Ek Khula Raaz Hai, Khula Isliye Ke  Har Shaqs Jaanta Hai Ke Maut Behr-E-Haal Aani Hai Aur Raaz Isliye Ke Koi Nahi Janta Ke Kab Kahan Aur Kaise Aani Hai.

80. Zindagi Aise Jeeyo Ke Koi Hanse To Tumhari Wajah Se Hanse Tum Par Nahi Aur Agar Roye To Tumhare Liye Roye, Tumhari Wajah Se Nahi.

81. Kitni Shiddat Hoti Hai Tohfe Ko Kholkar Dekhne Ki Yahi Mukaam "Parde" Ne "Islam" Me Paya Hai.

82. Be-Hayai Ke Zamane Me Haya Unhi Me Bachi Hai Jinko Apni Tarbiyat Aur Izzat Ke Daman Pe  Daag Lagwana Gawara Nahi.

83. Log Kehte Hain Ki Aankho Me Haya Honi Chahiye Mera Khayal Hai Ki Haya Kirdaar Me Honi Chahiye Ki Aankhein Agar Bhatak Bhi Jayen To Mazboot Kirdaar Aankhon Pe Qabu Paa Hi Leta Hai.

84. Khubsurti Allah Ne Di Hai To Parde Me Raha Karo Be-Hayai Aakhirat Me Kahin Barbadi Ka Sabab Na Ban Jaye.

85. Alfaaz Ki Apni Hi Ek Duniya Hoti Hai Har Ek Lafz Apni Zimmedari Nibhata Hai Kuch Lafz Hukumat Karte Hain, Kuch Lafz Gulami Karte Hain, Kuch Lafz Hifazat Karte Hain. Aur Kuch Lafz Waar Karte Hain.

86. Taqwa Parwaz Hai Ma'siyat Dhalna Hai Maa'rifat Ki, Har Wakht Iska Istehzar Hona Ki Allah Mujhe Dekh Raha Hai Yahi Taqwa Hai, Apni Jawani Ki Hifazat Karo Warna Iss Jawani Ki Koi Qeemat Nahi Lega Maidan-E-Mehshar Me Gunnaho Se Baccho Jitna Ho Sake.

87. Marne Se Pehle Maar Do, Khuwaishat Ko Maar Do, Nafs Ko Maar Do, Ana Ko Maar Do, Gusse Ko Maar Do, Maa'siyat (Gunnah) Ko Maar Do, Jisne Maar Diya Samjho Wo Jee Gaya Hamesha Ke liye (Kamyab Ho Gaya)


88. Tum Apni Hazar Galtiyo Ke Baavajood Apne Aap Se Muhabbat Karte Ho, Lekin Dusro Ki 1 Galti Ki Wajah Se Un Se Nafrat Kyun Karne Lag Jate Ho Ya To Khud Galtiyan Karna Chord Do Ya Dusron Ko Maaf Karna Seekhlo.

Please Comments

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

ПОЧЕМУ ИСЛАМ?

ЧТО ТАКОЕ ИСЛАМ? ОСНОВА ИСЛАМА (ЧАСТЬ 1 ИЗ 4)