All In One Hadith

 All In One Hadith




1. ✦  *Hadith : Allah usko khushhaal rakhey jo hamari hadith ko suney aur aagey pahuchaye*
-----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu us Shaks ko khush rakhein jisne hamari koi baat suni aur phir bilkul usee tarah dusro tak pahucha di jis tarah suni thi,kyunki bahut se aise log jinhe hadith pahuchegi wo sunne wale se zyada samajh aur ilm rakhte honge
Jamia Tirmizi Jild 2, 552-Sahih


2. Mafhum-e-Hadith - Jaha tak uski (Muadhdhin ki) aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai

Abu huraira Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Muadhdhin ( Adhan dene wala) bakhsh diya jata hai jaha tak uski aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai. Aur Namaz ( ki jamaat) mein aaney waley ke liye 25 Namazon ka sawab likha jata hai aur ek Namaz se dusri Namaz tak ke gunaah maaf kar diye jatey hain
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 513-Sahih

3. ✦ Mafhum-e-Hadith: Bewaon aur miskeenon ki madad karne wale ka darja 
___
✦ Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Bewaon aur miskeenon ke kaam aane wala Allah ke raastey mein Jihad karney wale ke barabar hai ya Raat bhar Ibadat aur din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai
Sahih Bukhari, Jild 6, 5353

4. *✦ Hadith Qudsi : Allah subhanahu ne farmaya Mere liye aapas mein muhabbat karne walo ke liye noor ke mimbar honge*
-------
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai mere liye aapas mein muhabbat karne walo ke liye noor ke mimbar honge jin par Anbiya aur shohda (Shaheed) bhi rashk karenge
Jamia Tirmidhi 2390-Sahih


5. Hadith:  Allah subhanahu ki Raza talash karne wale ki fazilat*
----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya banda Allah subhanahu ki razamandi talash karta hai wo issi koshish mein laga rehta hai to Allah subhanahu Jibril Alahih Salam se farmata hai mera falah banda mujhe razi karne ki koshish karta hai sun lo meri Rehmat iss par hai to Jibrail Alahih Salam farmate hai Allah subhanahu ki rahamt falah Shaks par hai phir arsh uthane wale bhi yahi kehte hai aur phir unke aas pas wale yahi kehte hai yaha tak ke saatho asman wale yahi elan karte hai phir uske liye wo Rahamt zameen par utarti hai
Musnad Ahmed-9428 -Sahih
----

6. Hadith:Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega , Ya Allah is se razi ho ja to Allah subhanahu us se razi ho jayega
-----------
Hadith: Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega ,YA Allah isko zeenat ata farma ( ya isko sanwar de) , phir usko ezzat ka taaj pahnaya jayega , phir wo (Quran) arz karega ya Allah isko aur zyada zeenat ata farma ( aur zyada sanwar de) , phir usko ezzat ka joda pahnaya jayega , phir wo (Quran ) arz karega Ya Allah is se razi ho ja to Allah subhanahu us (sahib e Quran) se razi ho jayega , phir us se kaha jayega ki padhta ja aur (darjat par) chadhta ja aur har aayat ke badle uski neikiya zyada ki jayegi
Jamia Tirmizi, Jild 2, 820-Hasan


7. Juma ki fazilat aur Aadab Hadith ki roshni mein*
-------------------

✦ 1. Al Quran : Eh Imaan walon jab jumaa ke din namaz ke liye azan di jaye to Allah ke zikr ki taraf jaldi se aa jao aur kharid wa farokht chhodh do , tumhare liye yahi baat behtar hai agar tum ilm rakhte ho
Al Quran : Surah Al Jumaa (62) , verse : 9

✦ 2. Al Quran : Beshak Allah subhanahu aur uske farishtey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par durud bhejte hain, Eh imaan walo tum bhi un par durud aur salam bheja karo. 
Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

✦ 3. Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi Wasallam Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasool-Allah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara  Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai. 
Sunan Abu Dawud, Vol 1,1035-Sahih

✦ 4. Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf hongey aur 10 darjaat buland 
hongey 
Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 -Sahih


✦ 5.  Abu Huraira Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Jumaa ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka  naam likhtey hain sabse pahley aane wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah 
likha jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney wale ki tarah phir maindey (sheep) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad murgi(chicken) ka, uskey baad ande (egg) ka lekin jab imam (khutbadene ke liye) bahar jata hai to ye farishte apne daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jate hain. 
Sahih Bukhari, Vol 2, #929


✦ 6. Salman farsi radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne jumaa ke din gusal kiya aur khub paki hasil ki aur Tel (oil) ya khushbu istemal ki phir jumaa ke liye chala aur Do aadmiyon ke beech mein na ghusa (Yani masjid mein baithe logo ko falagta hua na gaya) aur jitni uski kismat mein thi namaz Parhi phir jab Imam bahar aaya aur khutba shuru kiya to khamosh ho gaya,uskey is jumaa se guzrey (past) jumaa tak ke tamam gunaah baksh diye jayengey. 
Sahih Bukhari, Vol 2, 910

✦ 7. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya ye din (jumaa ) Eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko ata farmaya hai, isliye jo jumaaa ke liye aaye to ghusal kar le aur khushbu mil jaye to laga le aur tum par miswak bhi hai 
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1098-Hasan

✦ 8. Abu seed khudri radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu Alaihi wasslkam ne farmaya Jo (Musalman) Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta rahega 
Mustadrak Hakim 3392-Sahih
Sahih Al jamee 647

✦ 9. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apney minbar par se irshaad farmaya Logon ko Namaz jumaa tark karney (chhorh deney) se baaz rahna chahiye nahi to Allah taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey 
Sunan An Nasai, Vol 1, # 1373-Sahih


✦ 10. Abu Huraira Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Pancho namazein aur (ek) Juma (dusre) juma tak ka kaffara hai (un gunaho se) jo inke darmiyan ho jate hain jab tak ki koi kabira gunah na kare
Sahih Muslim, Jild1 , 550

✦ 11. Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Abu Al-Qasim (Yani Rasool-Allah) Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma mein ek ghadi aisee aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko jarur dega
Sahih Bukhari, Jild 6, 5294

✦ 12. Jabir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma ka din 12 ghante ka hai jisme koi momeen banda Allah subhanahu se kuch mange to Allah usko jarur ata farmate hai , tum log usko asar ke baad aakhri waqt mein talash karo
Sunan Nasaii, Vol 1,1392-Sahih

✦ 13. Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Juma ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrab ) ke darmiyan talash karo
Jamia Tirmidhi , Jild 1, 471-Sahih

✦ 14. Abdullah bin amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis musalman ki wafat Juma ke din ya Juma ki raat ko hoti hai usko Allah subhanhu Qabr ke fitne se mehfooz rakhta hai
Jamia Tirmizi, Vol 1, 1063-Hasan

✦ 15. Abdullah ibn Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jumaa mein 3 tarah ke log aate hain, ek to wo jo waha aakar behuda baat kare, uska hissa yahi hai (yani usko kuch sawab na milega) aur dusra wo hai jo wahan aakar Allah Subhanahu se Dua kare agar Allah chahega to uski Dua Qubul karega aur chahega to nahi karega, aur teesra wo hai jo wahan aakar khamoshi se baith jaye na logon ki gardanein faand kar (over the neck) aagey bade aur na kisi ko takleef pahuchaye to uska ye amal is jumaa se lekar agli jumaa tak bulki aur teen deen ziyada tak ke liye gunaahon ka kaffara ban jayega, kyunki Allah subhanahu ka irshaad hai ki jo shaksh ek neki karta hai usko 10 gunaa sawab milega
Sunan Abu Dawud, Vol 1 ,1101-Hasan

✦ 16. Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh aaya jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam juma ka khutba de rahe they , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pucha eh falah kya tumne namaz padhi usne kaha nahi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya utho aur 2 rakaat namaz ada karo 
Sahih Bukhari, Vol 1, 930 

✦ 17. Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab koi jumaa ke din aaye aur imam khutba ke liye bahar aa gaya ho to bhi 2 rakaat padh le. 
Sahih Muslim, Vol 2, 2022 

✦ 18. Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Sulaik Ghatafani Radi Allahu Anhu jumaa ke din masjid mein aaye tab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam minbar par tashreef farma they  Sulaik Ghatafani Radi Allahu Anhu baith gaye aur namaz napadhi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne daryaft kiya , kya tumne 2 rakat namaz padhi to unhone kaha nahi phir Aap Sallallahu  Alaihi Wasallam ne farmaya utho aur 2 rakaat namaz ada karo aur mukhtasar padho phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs juma ke din aaye aur imam khutba de raha ho to (bhi) usko 2 rakat (namaz) padhna chahiye aur usko mukhtasar kar dena chahiye 
Sahih Muslim, Vol 2, 2024 

✦ 19. Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi Juma ki (farz) Namaz parh chukey to usey chahiye ki uskey baad Chaar rakaat Namaz Ada karey
Sunan Nasaii Vol1, 1429-Sahih

✦ 20. Tariq ibn Shihab Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jumaa ki namaz jamaat ke saath har musalman par wajib hai siwaye chaar ke , ek to ghulam par , dusra aurat par, teesra bachche par aur chotha beemar par ( juma ki namaz wajib nahi)
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1055-Sahih

_________________________

8. 8.  *Hadith : Jis cheez mein tumhara koi maqsad na ho usko chorh do

----

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bande ke husn-e-Islam mein se ye bhi hai ki jis cheez mein uska koi maqsad na ho wo uske bare mein kam batein kare ya usko chorh de 

Masnad Ahmed-102-Sahih


9. *Hadith: Logon mein sulah karwana Namaz, roze aur sadqe se Afzal hai*
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya main tumehin wo baat na batau jo darje mein roze namaz aur sadqa  se afzal hai logo ne kaha ji haan, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya aapas mein sulah karwa dena

9. Hadith :  Momeen taana denewala, laanat karnewala, behaya aur badzuban nahi hota

--------

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Momeen taana dene wala, laanat karne wala, behaya aur badzuban nahi hota 

Jame Tirmzi 1977- Sahih


10 . Hadith:  Allah taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey

Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne apney mimbar par se irshaad farmaya Logon ko Namaz jumaa tark karney (chorh deney) se baaz rahna chahiye nahi to ALLAH  taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey 

Sunan An Nasai, Vol 1, # 1373 (Sahih)


11. ✦ Hadith : Aag tumahari dushman hai isliye jab sone lago to usko bujha diya karo

----

✦ Madina mein ek ghar raat ke waqt gharwalo ke saath jal gaya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se iss ke mutalliq kaha gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye Aag tumahari dushman hai isliye jab sone lago to usko bujha diya karo

Sahih Bukhari, 6294

----

12. ✦ *Hadith : Dewar (Ya Jeth) to maut ki tarah hai (yani unke saath jana hi to halaqat hai )*

----

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya aurton mein jane se bachte raho is par Ansar Qabeele ke ek shakhs ne kaha ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Dewar (Ya Jeth) ke mutalliq aapki kya raay hai ? (Wo apni Bhabhi ke saath ja sakte ya nahi )? to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Dewar (Ya Jeth) to maut ki tarah hai 

(yani unke saath jana hi to halaqat hai )

Sahih Bukhari, 5232


Note : Ulmao ka kahna hai ki Aurat ko aise kisi bhi rishtedar ke saath akele nahi jana chahiye jo gair mahram ho chahe wo kitni bhi kareebi rishtedar na ho 

----

13 . ✦ *Hadith : Teen aadme aise hain jo Dua karte hain lakin unki Dua qubul nahi ki jati*

---

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya teen shakhs aise hain jo Dua karte hain lekin unki Dua qubul nahi ki jati wo shakhs jiske paas bad akhlaq biwi thi lakin usne us aurat ko talaq nahi di wo shakhs jiska kisi dusre shakhs ke zimme kuch maal tha lekin usne gawah nahi banaya aur wo shakhs jisne apna maal kisi bewakuf ko de diya jabke Allah Subhanahu ne farmaya bewakufo ko apna maal na do (Al Quran 4:5)

Al-Silsila Sahiha-1947

14 . *Hadith : Jis cheez mein tumhara koi maqsad na ho usko chorh do

----

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bande ke husn-e-Islam mein se ye bhi hai ki jis cheez mein uska koi maqsad na ho wo uske bare mein kam batein kare ya usko chorh de 

Masnad Ahmed-102-Sahih

15 .*Hadith: Maaf Karne se Allah Subhanahu bande ko ezzat hi main badhata hai*
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Sadqe ne maal main kabhi koi kami nahi ki aur maaf Karne se Allah Subhanahu bande ko ezzat hi main badhata hai aur jo shakhs  sirf Allah Subhanahu ki khatir  Aajizi  ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai
Sahih Muslim, Jild 6, 6592
------

16 . Hadith :  Cheenk ke waqt munh par haath ya kapda rakhna sunnat hai*

------

✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko jab cheenk aati to aap chehre ko haatho se ya kisi kapde se dhanp lete aur cheenk ki aawaz kam karte

Jamia Tirimizi, Jild 2,645-Sahih 


17 . Hadith : Wo shakhs momeen nahi Jo pet bhar kar khata ho jabki uska padosi bhukha ho

------

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  ne farmaya wo shaksh momeen nahi ho sakta Jo pet bhar kar khata ho jabki uska padosi bhukha ho

Aadab Al-Mufrad (Bukhari) 112-Sahih


18 . Hadith : Buzurg Musalman ki ezzat karna Allah subhanhu ki tazeem ka ek hissa hai
---------------- 
✦ Hazrat Abu Musa Ashari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ki tazeem ka hissa ye bhi hai ki safed baalo wale musaman (yani Buzurg) ki ezzat ki jaye, aur Quran karim ke hamil yani Hafiz aur Aalim ki bhi ezzat ki jaye siwaye usmein gulu aur kamee karne walo ke aur aadil baadshah ki bhi ezzat ki jaye
Sunan Abu Dawud, Jild 3,1415-Sahih

19 . Hadith: Jis Cheez mein behayayee aati hai usay aibdar kar deti hai
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis Cheez mein behayayee aa jati hai usay aib dar kar deti hai aur jis cheez mein haya aati hai usmein zeenat aa jati hai
Jamia Tirmizi, Jild 1, 2038-Sahih

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haya se hamesha bhalayee paida hoti hain.
Sahih Bukhari, Jild 7, 6117

20 .✦ *Ummat ke behatreen aur badtareen log*
-------------
✦ Abu malik ashari radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain 
Al-Silsila-tus-Sahiha-3412
----------

21 .*Hadith: Taqwa aur achche akhlaq ke Zariye aksar log Jannat mein jayenge*
------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha gaya aksar log kis wajah se Jannat mein jayenge  to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Taqwa ( Allah Subhanahu Ka khauf) aur Achche Akhlaq phir pucha gaya aksar log kis wajah se dozakh mein jayenge farmaya do khokhli cheezein, munh aur Sharmgah kyunki munh se buri baatein niklegi aur sharamgah se haram kaam karenge
Sunan Ibn Maja jild 3 1127-Sahih
-------

22 . Hadith: Jis Cheez mein behayayee aati hai usay aibdar kar deti hai
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis Cheez mein behayayee aa jati hai usay aib dar kar deti hai aur jis cheez mein haya aati hai usmein zeenat aa jati hai
Jamia Tirmizi, Jild 1, 2038-Sahih

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haya se hamesha bhalayee paida hoti hain.
Sahih Bukhari, Jild 7, 6117

23 . Hadith : Buzurg Musalman ki ezzat karna Allah subhanhu ki tazeem ka ek hissa hai
---------------- 
✦ Hazrat Abu Musa Ashari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ki tazeem ka hissa ye bhi hai ki safed baalo wale musaman (yani Buzurg) ki ezzat ki jaye, aur Quran karim ke hamil yani Hafiz aur Aalim ki bhi ezzat ki jaye siwaye usmein gulu aur kamee karne walo ke aur aadil baadshah ki bhi ezzat ki jaye
Sunan Abu Dawud, Jild 3,1415-Sahih

24 . ✦  Hadith : Jab tumhare pass koi aisa shakhs (rishta lekar) aaye jiska akhlaq aur deen tumhe pasand ho to us se nikah kar do
------------
✦ Abu Hurairah radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya jab tumhare pass koi aisa shakhs (rishta lekar) aaye jiska akhlaq aur deen tumhe pasand ho to us se nikah kar do, agar tum aisa nahi karoge to zameen mein fitna aur fasad phail jayega
As Silsila As sahiha, 1886 
------------

25 . ✦ Hadith : Good character and long silence  are very heavy in scale (meezan)
-------------
Narrated by Anas radi Allahu anhu Once RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam met to Abu Dharr Radi Allahu anhu and said  Oh Abu dharr Shall I not tell you two deeds which are very easy to do and very heavy in scale (meezan) , he said why not Ya RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam, (please do tell me),  RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam said Adhere (stick on) Good character and long silence , By Him in Whose Hand my life is, there are no other deeds of the creations is equal to them.

Al-Silsila-tus-Sahiha, Hadees # 202

26 . ✦ Hadith : Achcha Akhlaq aur zyada khamoshi tarazu mein bahut bhari hain
-------------
✦ Anas radi Allahu anhu se rivayat hai ki ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Abu Dharr Radi Allahu anhu se mile aur farmaya Eh abu dharr kya main tumhe do khubiyan na batauu jo karne mein bahut halki hain aur tarazu mein bahut bhari hain unhone kaha kyu nahi Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam (Jarur bataeeye),  Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum apne upar achcha akhlaq aur zyada khamoshi lazim kar lo , kasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai makhluq ka koi dusra amal unke barabar nahi
Al-Silsila-tus-Sahiha, Hadees # 202

43 . Hadith: jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uske liye kaafi ho jayegi

------------------------
Abdullah ibn masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uske liye kaafi ho jayegi (aafat se bachne ke liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009


Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya apne gharo ko Qabre na banao aur jis ghar mein Surah Al-Baqarah padhi jati hai wahan shaitan dakhil nahi hota
Jamia Tiirmidhi , Vol 2, 784-Sahih

44 . Mafhum-e-Hadith : Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai
----------------------
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah (gaath) laga deta hai aur har girah par ye phunk deta hai ki so ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah subhanahu ko yaad kare to ek girah khul jati hai phir jab wuzu karta hai to dusri girah khul jati hai aur phir agar namaz padhe to teesri girah bhi khul jati hai is tarahsubah ke waqt insan chust aur khush mijaz rahta hai warna sust aur badmijaz rahta hai

Sahih Bukhari,Jild 2,1142

45 . Ayat Al Kursi Shyateen / Jinnato se hifazat karti hai
---------------
✦ Ubay ibn Kab radi allahu anhu se rivayat hai ki unka ek khajur sukhane ka maidan tha jismein khajurein thi , wo uski nigrani kiya karte they ek din dekha 
ki khajurie kam hain to wo uska pahra dene lage unhone dekha ki ek jaanwar hai jo balig ladke ki tarah dikhta hai, unhone usko salam kiya to usne salam ka 
jawab diya unhone pucha ki tum jinn ho ya insan usne kaha jinn , unhone (Ubay ibn kaab radi allahu anhu ne) kaha ki mujhe apna haath dikhao , usne apna 
haath dikhaya to dekhte hain ki uska haath ek kutte ki tarah hai aur us par kutte ki tarah ke baal hain unhone kaha ki jinn ki takhleeq is tarah hoti hai 
kya ? usne kaha ki jinnat jante hain unmein mujhse taqatwar koi nahi phir unhone us se pucha ki tumhe is kaam par kisne majbur kiya ? usne kaha humein 
khabar mili thi ki tum aise shakhs ho jo sadqa pasand karte ho isliye humne socha ki hum bhi aapka khana khaye , phir unhone (Ubay ibn kaab radi allahu 
anhu ne) pucha ki humko tumse kaunsi cheez panah deti hai usne kaha Aayat Al kursi , dusre din Ubay ibn kaab radi Allahu anhu Rasool-Allah Sal-Allaahu 
Alaihi Wasallam ke pass gaye aur aapko sara waqya sunaya to Aap Sal-Allaahu alaihi Wasallam ne farmaya us khabees ne sach kaha 
Sahi Ibn Hibban,791-Sahih
Al-Silsila-tus-Sahiha-2861
At Tabrani, 542-Hasan

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi isko (Ayat Al kursi ko) subah padh lega to sham tak shaitan se mehfooz rahega aur jo sham ko padh lega wo subah tak shaitan se mehfooz rahega 
Al-Hakim , Al Targeeb wa Al Tarheeb, 1/273- Sahih

46. Hadith: Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain

Abu Qatada Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain
Sahih Bukhari, Vol 8, 6984


Hazrat Abu Said Khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jab tum mein se koi aisa khwab dekhe jise wo pasand karta ho to wo ALLAH subhanahu ki taraf se hota hai is par ALLAH ki Hamd (shukr ada) kare  aur dusron ko bata de Lekin agar koi aisa khawab dekhta hai jo use napasand ho to ye shaitan ki taraf se hota hai isliye uski buraii se pannah maange aur kisi se us khwab ka zikr na kare , ye khwab use kuch nuksaan nahi pahucha sakega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6985 

47 . Mafhum-e-Hadith : Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai
----------------------
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah (gaath) laga deta hai aur har girah par ye phunk deta hai ki so ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah subhanahu ko yaad kare to ek girah khul jati hai phir jab wuzu karta hai to dusri girah khul jati hai aur phir agar namaz padhe to teesri girah bhi khul jati hai is tarahsubah ke waqt insan chust aur khush mijaz rahta hai warna sust aur badmijaz rahta hai

Sahih Bukhari,Jild 2,1142

48 . Al Quran : Tum unke maal aur Aulad se tajjub na karoALLAH yahi chahta hai ki un cheezon ki wajah se Duniya ki zindagi mein unhey Azab de aur kufr ki halat mein unki jaan nikle
Al Quran , Surah Al Tauba  (9) , 55


49 . Hadith Qudsi: RAB ka irshad hua ki Subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye

----------------------------

✦ Zaid bin khalid jahni Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne humein Hudebiya mein subah ki namaz padhayee aur raat ko barish ho chuki thi , namaz se farig hone ke baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam  ne logo ki taraf munh kiya aur farmaya , malum hai tumhare RAB ne kya farmaya hai , logon ne kaha ki Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi wasallam  khoob jante hain ,Aap ne farmaya ki tumhare RAB ka irshad hai ki subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye jisne kaha ki Allah ke fazal aur rahmat se hamare liye barish huyee to wo mera momeen hai aur sitaro ka munkir hai aur jisne kaha ki falah sitare ki falah jagah par aane se barish huyee to wo mera munkir hai(yani mujhse kufr kiya)  aur sitaro ka momeen hai (yani sitaro par iman rakhne wala hai)

Sahih Bukhari,  Jil1, 846

50. Hadith :Momeen ko Nekiyon ke badle Duniya mein Rizq diya jata hai
------
✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu momin ki neki ke baare me zulm nahi karta, duniya me bhi iske badle usey rizq pahunchaya jata hai aur aakhirat me bhi iska badla diya jayega jabki kafir ko uski nekiyo ke badle duniya me hi badla de diya jata hai, Jab wo Allah Subhanahu se mulaqat karega to uski aisi koi neki nahi hogi jiske badle usey ajar diya jaye
Al-Silsila As-Sahiha 3647

61. Hadith: Meri Ummat mein se ek giroh hamesha ALLAH ke qanoon (Ahkam-e-shariyat) par qayam rahega



Muawiya Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya

Meri Ummat mein se ek giroh hamesha ALLAH ke qanoon (Ahkam-e-shariyat) par qayam rahega , usko jhoothlane wale aur mukhalifeen koi nuqsan nahi pahucha sakenge yaha tak ki Allah ka hukm (Qayamat) aa jayegi aur wo isee haal mein honge , Muaaz Radhi allahu anhu ne farmaya ki wo giroh mulk e sham mein hoga

Sahih Bukhari, Vol 8,7460


Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu ne  apne haath se mulk e sham ki taraf ishara kiya aur kaha ki Dushman ( Nasara) jama honge musalmano se ladne ke liye aur musalman bhi unse ladne ke liye jama honge, maine kaha Dushman se tumhari murad Nasara hai unhoney kaha haan
Sahih Muslim, Vol 6, 7281 


62. ✦ Hadith: wo aisee hadith tumko sunayenge jo tumhare baap dada ne nahi suni hogi to unse bachte rahna aisa na ho ki wo tumhe gumrah kar de 
-----------
✦ Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya aakhri zamane mein dajjal aur kazzab (yani jhooth bolne wale) paida honge wo aisee hadith tumko sunayenge jo tumhare baap dada ne nahi suni hogi to unse bachte rahna aisa na ho ki wo tumhe gumrah kar de aur aafat mein daal de
Sahih Muslim, Jild 1 , Muqadma (The Book of Introduction), 16 

✦ Salama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo shaksh mere naam se wo baat bayan kare jo maine nahi ki to wo Apna thikana Jahannam mein bana le
Sahih Bukhari , Vol 1 , 109

63. Dushman Mulk-e-sham mein jama honge musalmano se ladne ke liye aur musalman bhi unse ladne ke liye jama honge

--------------
✦ Yasir Bin jaber Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek baar kufa mein laal (Red) aandhi aayee , ek shakhs aaya aur kahney laga ki Eh Abdullah bin masood 
Qayamat aa gayee, ye sunkar Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu baith gaye unhoney kaha ki Qayamat us waqt tak nahi aayegi jab tak meeras ka maal batna 
band na ho jaye aur maal-e-ganeemat se khushi hona band na ho jaye , (kyunki koi waris hi zinda nahi rahega to meeras ka maal kaun lega aur jab koi ladaii 
se zinda wapas hi nahi aayega to maal-e-ganeemat se khushi na hogi) .


✦ Phir apne haath se ishara kiya Shaam ke mulk ki taraf aur kaha ki Dushman (Nasara) jama honge musalmano se ladne ke liye aur musalman bhi unse ladne ke 

liye jama honge, mainey kaha Dushman se tumhari murad Nasara hai unhone kaha haan aur us waqt sakht ladaii hogi , musalman ek lashkar ko aagey bhejenge jo 
marne ke liye aage badega aur bagair jeet ke wapas na lautega ( yani is irade se aage jayenge ki ya shaheed ho jayenge ya fateh hokar aayenge) , phir dono 
lashkar jung karenge yahan tak ki raat ho jayegi phir dono taraf ki faujain (Army) laut jayegi , kisi ko jeet hasil nahi hogi, jo lashkar jung ke liye gaya 
tha wo bilkul fana ho jayega,
✦ Phir Musalamn ek lashkar aage bhejenge jo shaheed hone ke liye ya jeetne ke liye jayega aur jung hoti rahegi yahan tak ki (phir) raat ho jayegi aur dono 
tarak ki faujein laut jayegi aur kisi ko jeet hasil nahi hogi aur wo lashkar bhi fana ho jayega , (isi tarah) jab chotha ( fourth day) din hoga to jitne 
musalman baqi rah gaye hain wo sab aage badenge us din Allah subhanahu kaafiron ko shikast dega aur aisee ladaii hogi ki kisi ne na dekhi hogi yahan tak ki 
parinda unke upar se udega aur wo aage bhi nahi pahuchega ki wo murda hokar gir jayenge ( yani us daur mein latest weapon ki wajah se ek prinde ke udne se 
bhi jaldi log mar jayenge) aur 100 mein se sirf ek shakhs hi zinda bachega, aisee halat mein kaunsa maal-e-ganeemat se khushi hogi aur kaunsa meeras ka maal 
taqseem kiya jayega.
✦ Phir musalman isee halat mein honge ki ek aur badi aafat ki khabar sunege , ek pukarne wala kahega ki Dajjal ( Anti Christ) unke baal bachcho ( family) ke 
beech aa chuka hai, ye sunte hi jo kuch unke haatho mein hoga usko chod kar rawana honge aur das sawaron ko pahle aage rawana karenge ( dajjjal ki khabar 
lane ko) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main un sawaron ke aur unke Walid ke naam janta hu aur unke ghodo ( horse) ke rang janta hu wo 
sari zameen ke behtar sawar (riders) honge ya behtar sawaron mein se hongey us din. 
Sahih Muslim, Vol 6, 7281

64. Hadith: Musalman khud ek dusre ko halak karenge aur ek dusrey ko Qaid karenge 
------------------------------
Thauban radi allahu anhu se Rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne lapet liya zameen ko mere liye (yani sab zameen ko mere samne kar diya) to maine uska purab aur pachchim dekha aur meri hukumat wahantak pahuchegi jaha tak zameen mujhko dikhlayee gayee aur mujhko do khazane mile surkh aur safed aur maine Dua ki apne Allah se ki meri ummat ko ek hi martaba qahat se halak na karna aur un par kisi aise dushman ko musallat na karna jo sari ummat ko halak kar de , 

Mere Allah ne farmaya Eh Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam main jab koi hukm kar deta hun phir wo nahi palat-ta, aur maine Aapki ye Duayein qubul ki Main Aapki ummat ko Aam qahat se halak na karunga aur na un par kisi aise dushman ko musallat karunga jo sari ummat ko halak kar de chahey zameen ke tamam log iske liye ek saath ho jaye ( ki musalmano ko tabah karne ke liye lekin unko bilkul tabaah na kar sakege) yahan tak ki khud musalman ek dusrey ko halak karenge aur ek dusre ko Qaid karenge 
Sahih Muslim, Vol 6, 7258 

65. Hadith: Qayamat se pahle bahut se chote dajjal bheje jayenge , taqreeban 30  Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai

---------------------------------------
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak Do Azeem jamatein jung na karegi in dono jamaton ke darmiyan badi khoon-rezi hogi halanki dono ka dawah ek hi hoga (yani ek hi mazhab ko maane wale honegy ) yahan tak ki bahut se chote dajjal bheje jayenge taqreeban 30  Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai yahan tak ki ilm utha liya jayega aur zalzalon ki kasrat hogi aur zamana kareeb ho jayega aur fitne zahir ho jayenge  aur harj bad jayega harj yani Qatl, yahan tak ki tumhare pass maal ki kasrat ho jayegi yahan tak ki parhzigar aur Sahab-e-maal ko ye fikr hone lag jayegi ki uska sadqa  kaun qubul karega aur yahan tak ki wo (sadqa) pesh karega magar jiske samne pesh karega wo kahega ki mujhe iski jarurat nahi aur yahan tak ki log badi badi imaraton mein aapas mein fakhr karenge , ek se ek badkar imaratein banayengey, aur yahan tak ki ek shaksh dusre ki kabr par se guzrega aur kahega ki kaash main bhi isi jagah hota  aur yahan tak ki suraj maghrib se nikal jayega , jaise ho wo (suraj) is tarah tulu hoga  aur log dekh lenege to sab log Imaan le aaayenge lekin ye wo waqt hoga jab kisi aise shaksh ko iska imaan lana fayda na dega jo pahle se imaan na laya hoga aur usne apne imaan ke saath achchay kaam na kiye hon

                        Aur Qayamat achanak is tarah qayam ho jayegi ki do aadmiyon ne apne darmiyan kapda phaila rakha hoga ise abhi bech bhi na paaye honge aur na hi lappet paye honge , aur qayamat is tarah aa jayegi ki ek shaksh apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua hoga aur abhi use pee bhi nahi paya hoga , aur qayamat is tarah qayam ho jayegi ki wo apne hauz ko durast kar raha hoga aur abhi usmein se paani bhi nahi pee sakega aur Qayamat is tarah qayam ho jayegi ki usne apna luqma munh ki taraf uthaya hoga aur abhi use khaya bhi nahi hoga
Sahih Bukhari, Vol 8, 7121


65. Hadith:Madine se kaafir aur munafiq nikalkar Dajjal ki taraf chale jayega
----------------------


Anas Bin malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya dajjal aayega aur madine ke kareeb ek kinare par Qayam karega phir madina 3 martaba kaanpega jis se uske andar har kaafir aur munafiq nikalkar uski taraf chala jayega
Sahih Bukhari, Vol 8, 7124

Narrated Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu : The Prophet said, "Ad-Dajjal will come and encamp at a place close to Medina and then Medina will shake thrice whereupon every Kafir (disbeliever) and hypocrite will go out (of Medina) towards him."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 88, Number 239


66. Hadith: Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak ki yahudiyon se tumhari jung na
ho

------------------------------
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak ki yahudiyon se tumhari jung na ho , aur wo paththar bhi us waqt ( ALLAH ke hukm se) bol uthenge jiske peeche yahudi chupe hoga  ki Eh Musalman ye yahudi mere peeche chupa baitha hai isko Qatl kar de
Sahih Bukhari, Vol 4, 2926

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya qayamat qayam na hogi yahan tak ki musalman yahudiyo se ladenge phir musalman unko Qatl karenge yahan tak ki yahudi kisi paththar ya darakht ki aad mein chupega to wo paththar ya darkht bolega Eh musalman eh Allah ke bande ye mere peeche ek yahudi hai idhar aa aur use Qatl kar magar garqad ka darakht nahi bolega ( ye ek kaantedar darakht hai jo baitul muqaddas ki taraf bahut hota hai) wo yahuditon ka darakht hai
Sahih Muslim, Vol 6, 7339

67. Hadith: Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi jab take ki ek  shaksh dusre ki Qabr ke pass se guzre aur kahe ki kaash main bhi isi jagah mein hota

Hadith: Abu Hurairah Radi allahu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi jab take ki ek  shaksh dusre ki Qabr ke pass se guzre aur kahe ki kaash main bhi isi jagah mein hota
Sahih Bukhari, Vol 8, 71

68. Hadith: Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi yahan tak ki sir zameen e Hijaz se ek aag niklegi


Abu Hurairah Radi allahi anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi yahan tak ki sir zameen e Hijaz se ek aag niklegi aur basra mein unton ki gardano ko roshan kar degi
Sahih Bukhari,  Vol 8, 7118

69. Hadith: Anqareeb Darya e Furat se sone ( gold) ka ek khazana niklega , jo koi wahan mojud ho wo usmein se kuch na le


Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya anqareeb Darya e Furat se soney ( gold) ka ek khazana niklega , jo koi wahan mojud ho wo usmein se kuch na le
Sahih Bukhari, Vol 8, 7119

70. Hadith: Meri Ummat mein se ek giroh hamesha ALLAH ke hukmo par qayam rahega


Muawiya Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Meri Ummat mein se ek giroh hamesha ALLAH ke hukmo par qayam rahega Use jhootlane wale aur mukhalefeen koi nuksaan nahi pahucha sakenge yahan tak ki ALLAH ka Amr ( yani Qayamat) aa jaye aur wo isi haal mein hongey, is par Malik Radhi Allahu Anhu ne kaha ki  Muadh Radhi Allahu Anhu ne kaha hai wo giron sham mein hoga

Sahih Bukhari, Vol8, 7460  

71. Hadith: Fitney fasaad aa jayengey, aur harj bad jayega harj yani Qatl


Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Qayamat us waqt tak na aayegi jab tak ilm-e-deen utha na liya jaye aur zalzalon ki kasrat na ho jaye aur Waqt jaldi jaldi guzarney na lag jaye aur Fitney fasaad aa jayengey, aur harj bad jayega harj yani Qatl, aur tumharey andar maal-wa-Daulat itni ziyada ho jayegi ki wo ubal Parhega (overflow)
Sahih Bukhari, Vol1, 1036

72. Hadith:Najd mein zalzaley aur fitney hongey aur Shaitan ka sing wohi se tulu hoga

 Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Allah Shaam aur Yemen par barkat nazil farma, is par logon ne kaha ki hamarey Najd ke liye bhi barkat ki Dua kar dijiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne phir wohi farmaya Eh Allah mulk-e-Shaam aur yemen par barkat nazil farma, is par logon ne kaha ki hamarey Najd mein ? to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya wahan to zalzaley aur fitney hongey aur Shaitan ka sing wohi se tulu hoga
Sahih Bukhari, Vol 8, 7094
Sahih Bukhari, Vol2, 1037

73. Hadith: Aurton se bacho isliye ki Awwal fitna banee israeel ka aurton se shuru hua.


Abu Saeed khudri radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallho alaihi wasallam ne farmaya Duniya Sheeree aur sabz hai , Allah taala tumko haakim karney wala hai duniya mein phir dekhega tum kaisey amal kartey ho to bacho duniya se ( yani aisee duniya se bacho jo Allah taala se ghafil kar de)  aur aurton se bacho isliye ki Awwal fitna banee israeel ka aurton se shuru hua.

Sahih Muslim , Vol6, 6948

74. Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega


Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega

Sahih Muslim, Vol 1, 1883

-----------------------------------------

Abu Darda Radi Allahu Anhu reported The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam Said

If anyone learns by heart the first ten verses of the Surah al-Kahf, he will be protected from the Dajjal.

Sahih Muslim, Book 6, Hadith 311

75. Haidth:  Aakhir Zamane mein kuch log niklege  jo Naujawan hongey , Bewakoof honge

Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne  farmaya Aakhir Zamaney mein kuch log niklegey jo Naujawan hongey , Bewakoof hongey, logon mein sabse behatreen baatein karengey , Quran parhengey jo unkey halaq se neechey nahi utrega, Islam se is tarah Be Faiz rah jayengey jis tarah Teer shikar se Be Nishaan ghuzar jata hai jo unsey miley unse Qital karey kyunki unko Qatl karna ALLAH ke nazdeek Ajar ka kaam haiSunan Ibn Majah, Vol 1 , #  168 –Sahih

76. Hadith: Ek zamana aayega jab musalman ka sabse umda maal uski bakriyan hongi


Abu Said khudri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek zamana aayega jab musalman ka sabse umda maal uski bakriyan hongi jinhe wo pahaad ki chotiyon aur baarish ki waadiyon mein le kar chala jayega taki us tarah apne deen aur iman ko fitno se bacha le.
Sahih Bukhari, Vol 4,3300

77. Hadith: Aurton ke fitnon se bada nuksaan dene wala aur koi fitna nahi


Usama bin zaid radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam
 Ne farmaya mainey apney baad mardon ke liye aurton ke fitnon se bada nuksaan dene wala aur koi fitna nahi chora hai.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5096


78. Hadith: jahalat badh jayegi, zina ziyada hone lagega aur log sharab ziyada peene lagenge


Anas Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya ki Qayamat ki nishaniyon mein se ye bhi hai ki Quran aur Hadith ka ilm utha liya jayega aur jahalat badh jayegi, zina ziyada hone lagega aur log sharab ziyada peene lagengey, mard kam ho jayenge aur aurton ki taadad ziyada ho jayegi, Haalat ye ho jayegi ki 50 aurton ko sanbhalne
( khabar lene) wala ek mard hoga

( Ulma kahte hain ki aksar mard shaheed ho jayenge ya mar jayenge aur unke ghar ke members ki kifayat karne wala koi na hoga to ek mard apne tamam rishte daro ke liye kamayega jismein khala,chachi, bahan aur dusri sari rishte wali aurtein shamil hogi)


Sahih Bukhari, Vol 6, 5231

79. Hadith : Fasad aur fitno ke waqt Ibaadat karne ka sawab aisa hai jaise meri taraf Hijrat karne ka*

----

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Fasad aur fitno ke waqt Ibaadat karne ka sawab aisa hai jaise meri taraf Hijrat karne ka

Sahih Muslim, 7400 

80. Hadith: Meri ummat mein aise bure log paida ho jayenge jo Zinakari, resham ke pahanne  , sharab peene aur gaaane bajane ko halal bana lenge


Abu 'Amir  ya Abu Malik Al-Ash'ari Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya meri ummat mein aise bure log paida ho jayenegy jo Zinakari, resham ke pahanne  , sharab peene aur gaane bajane ko halal bana lenge aur kuch mutakabbir log pahadon(mountain) ki chotiyon par (rahne ke liye) chale jayenge , charwahe unke maweshi subah sham laayenge aur le jayenge unke pass ek faqeer aadmee apni jarurat lekar jayega to wo use taalne ke liye kah denge ki kal aana magar ALLAH subhanahu raat ko hi unko haalak kar dega aur pahaad ko (un par) gira dega aur unmein se bahut se logon ko Qayamat tak ke liye Bandar aur Khinzeer ( pig) ki suraton mein maskh(yani unki tarah) kar dega.

Sahih Bukhari, Vol7, 5590


81. Hadith: Duniya mein is tarah raho jaise musafir ho ya raasta chalne wala ho


Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhuma ne kaha ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne mera shaana pakad kar farmaya Duniya mein is tarah raho jaise musafir ho ya raasta chalne wala ho Ibn 'Umar kaha karte they ki sham ho jaye to subah ke muntazir na raho aur subah ho jaye to sham ke muntazir na raho ,Apni sehat ko marz se pahle ganeemat jano aur zindagi ko maut se pahley
Sahih Bukhari, Vol 7, 6416

82. Hadith: Maal ki Muhabbat aur Umar ki Daraji


Anas bin malik Radhi Allahu Anhu ne farmaya insaan ki umar badti jati hai  aur iske satah do cheejein uske andar badti jati hain : Maal ki Muhabbat aur Umar ki Daraji.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6421

83. Hadith : Mujhe tumhare baare mein ye Khauff  hai ki tum  Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagogey


Uqba bin Amir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  bahar tasreef laye aur jung-e-Uhad ke shaheedo ke liye is tarah Namaz (Gayabana Namaz Janaza) Parhi  jis tarah murde par namaz Padhi jati hai .



Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam mimbar par tasreef laye aur farmaya Aakhirat mein Main tumse aage jauunga aur main tum par gawaah rahunga wallah main apne Hauz ( Al Kauther)  ko is waqt bhi dekh raha hu aur mujhe zameen ke khazano ki kunjiya de di gayee hain  ya farmaya zameen ki kunjiya de di gayee hain aurALLAH ki Qasam main tumhare baare mein is baat se nahi darta ki Tum Shirk karoge bulki mujhe tumhare baare mein ye Khauff hai kitum Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagogey.
Sahih Bukhari, Vol7, 6426

84. Hadith: Insaan aur Maal (money)


Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Insaan ke pass Maal ki Do wadiyan (valley) ho  to teesri ka khwahish mand hoga aur insaan ka pet Mitti (belly) ke siwa aur koi cheej nahi bhar sakti aur ALLAH us shaksh ki Tauba Qubul karta hai jo sachchi tauba karta hai
Sahih Bukhari, Vol 7 , 6436

Hadith: Tum mein se kaun hai jisko Apne maal se ziyada apne waris ka maal pyara ho


Abdullah bin masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya tum mein se kaun hai jisko Apne maal se ziyada apne waris ka maal pyara ho Sahaba ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam hum mein se koi aisa nahi hai  jise apna maal ziyada pyara na ho phir uska maal wo hai jisne (Maut se) pahle (ALLAH ki raah mein) Kharch kiya aur uske waris ka maal wo hai jo wo chor kar mara.
Sahih Bukhari,  Vol 7 , 6442

85. Hadith : Lo log ziyada Maal aur Daulat jama kiye huye hain , Qayamat ke din wo khasare ( yani nuksaan) mein honge siwaye uskey….


Abu Dhar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo log ziyada Maal aur Daulat jama kiye huye hain , Qayamat ke din wo khasare ( yani nuksaan) mein honge siwaye uske jinhe ALLAH taala ne maal diya aur usne Dahine Bahiney, Aage peeche kharch kiya ho aur use neik kaam mein lagaya ho
Sahih Bukhari, Vol 7,  6443

86. Hadith : Tumhare baare mein mujhe ye Khauff  hai ki tum  Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagoge


Uqba bin Amir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam   mimbar par tasreef laye aur farmaya Aakhirat mein Main tumse aage jauunga aur main tum par gawaah rahunga wallah main apne Hauz ( Al Kauther)  ko is waqt bhi dekh raha hu aur mujhe zameen ke khazano ki kunjiya de di gayee hain  ya farmaya zameen ki kunjiya de di gayee hain aur ALLAH ki Qasam main tumhare baare mein is baat se nahi darta ki Tum Shirk karoge bulki mujhe tumhare baare mein ye Khauff  hai ki tum  Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagoge.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6426
Sahih Bukhari, Vol 8, 6590

87. 
Hadith: Wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge


Hudhaifa bin Al-Yaman Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kuch log honge jo mere tareeqe ke khilaf chalenge unki kuch baatein achchi hongi aur kuch mein tum buraii dekhoge maine pucha ki kya achche Daur ke baad phir se bura daur aayega, farmaya ki Haan jahannam ki taraf bulane wale Dojakh ke darwaze par khade honge jo unki baat maan lega wo usmein unhe jhonk denge maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  unki kuch sifat ( pahchan) bayan kijiye Aapne farmaya wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge maine kaha ki agar maine wo zamana paya to Aap mujhe kya hukm dete hain farmaya ki Musalmano ki jamaat aur unke Imam ke saath rahna maine kaha ki agar Musalmano ki jamaat na ho aur unka koi Imam na ho?farmaya ki phir un tamam logon se alag ho jana chahe tumhe jungal mein jakar Darakhton ki jade chabani parhe yahan tak ki is halat mein tumahari maut aa jaye

Sahih Bukhari, Vol 8, 7084 


88. Hadith: Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega


Abu Hurairah radi allahu taaala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye ki is se (duniya mein) maaf kara le, kyunki aakhirat mein dinar aur diraham (Rupye paisey)nahi honge , is se pahle  (maaf karwa le warna)  uske bhai ke liye uski nekiyon mein se haq dilaya jayega aur agar uske paas nekiya nahi hongi to us (mazlum) bhai ki buraeeyan us par dal di jayegi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6534

89. Hadith :Momeen ko Nekiyon ke badle Duniya mein Rizq diya jata hai
------
✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu momin ki neki ke baare me zulm nahi karta, duniya me bhi iske badle usey rizq pahunchaya jata hai aur aakhirat me bhi iska badla diya jayega jabki kafir ko uski nekiyo ke badle duniya me hi badla de diya jata hai, Jab wo Allah Subhanahu se mulaqat karega to uski aisi koi neki nahi hogi jiske badle usey ajar diya jaye
Al-Silsila As-Sahiha 3647

90. Hadith : Agar tumhe Allah ki rahmat ka andaza ho jaye to tum usee par bharosa karke baith jao aur koi kaam na karo
----
✦:  Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya Agar tumhe Allah Subhanahu ki rahmat ka andaza ho jaye to tum usee par bharosa karke baith jao aur koi kaam na karo aur agar tumhe Allah Subahnahu ke gusse ka andaza ho jaye to tumhe koi cheez nafa na de
Al-Silsila-tus-Sahiha 1083-Sahih





Coming  Soon  90 to 10,000  Hadith

Comments

Popular posts from this blog

ПОЧЕМУ ИСЛАМ?

ЧТО ТАКОЕ ИСЛАМ? ОСНОВА ИСЛАМА (ЧАСТЬ 1 ИЗ 4)