All In One Hadith
All In One Hadith 1. ✦ *Hadith : Allah usko khushhaal rakhey jo hamari hadith ko suney aur aagey pahuchaye* ----------- ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu us Shaks ko khush rakhein jisne hamari koi baat suni aur phir bilkul usee tarah dusro tak pahucha di jis tarah suni thi,kyunki bahut se aise log jinhe hadith pahuchegi wo sunne wale se zyada samajh aur ilm rakhte honge Jamia Tirmizi Jild 2, 552-Sahih 2. Mafhum-e-Hadith - Jaha tak uski (Muadhdhin ki) aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai Abu huraira Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Muadhdhin ( Adhan dene wala) bakhsh diya jata hai jaha tak uski aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai. Aur Namaz ( ki jamaat) mein aaney waley ke liye 25 Namazon ka sawab likha jata hai aur ek Namaz se dusri Namaz tak ke gunaah maaf kar diye jatey hain Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 513-Sa...